Fraud Placement Service
Fraud Placement Service
Ek under construction building mein kuch log baithe hain. ye normal lower
middle-class log lag rahe hain. unke beech mei ek aadmi ganesh baitha hai jo
unka leader hai. ganesh apne saathiyon se paise ke baare mein pooch raha hai
ki wahaan se kitna mila hai. sab usse api income share kar rahe hain.
Aisa lag raha hai ki ye log simple recovery waale hain ya bank collection waale
hain aur apne targets ke baare mein bataa rahe hain.
Tabhi Ganesh ke phone par ek phone aata hai. Ganesh apni placement agency
ka naam lekar bolta hai ki kya chahiye. Udhar se ek plumber ki requirement
aati hai. saath ke log haan karte hain ki plumber hai. ganesh kehta hai ki
address de dein.
Plumber nal par kaam karne lagta hai. lekin kaam karte hue hi wo ghar
bahaane se ghar ka jaayza bhi le raha hai. ghar ke maalik Brijesh office mein
hai. ghar mein neelu aur unka 7-8 saal ka beta mihir hai.
Plumber nal thek karta hai aur phir paise lekar wahaan se jaata hai. mihir bhi
khelne ke liye ghar se baahar jaata hai.
Kuch der ho chuki hai lekin mihir ghar nahin aaya hai. maa pareshaan hoti hai.
maa idhar udhar dhoodhti hai, bachon se pataa karti hai lekin muhir ka koi
pataa nahin hai. maa pareshaan hokar mihir ke papa Brijesh ko phone karti hai.
Brijesh ghar pahunchte hain sab mihir ko dhoondhte hain. lekin koi faayda
nahin. 1 din beet jaata hai. maa pareshaan hai. phir building ka watchman
mihir ko lekar aata hai ki ise koi baahar chhod gaya hai.
Maa baap ki jaan mein jaan aati hai. wo mihir ko dekhkar khush hain. isi beech
Brijesh ko pataa chalta hai ki ghar se kareeb 30,000 rupaiye gaayab hain. wo
pareshaan hota hai lekin neelima kehti hai ki unka beta sahi salaamat aa gaya
wahi bahut hai. paise to aa jaayenge.
Wo log mihir se poochte bhi hain ki use kaun le gaya tha lekin mihir ko kuch bhi
yaad nahin. Wo kehta hai ki jo log use le gaye the uski acchhi care ki lekin
sabke chehre cover the isliye usne kisi ki bhi shakal nahin dekhi. Maa baap bhi
baat ko zyaada tool nahin dete aur maamla wahin khatm ho jaata hai.
Udhar wo plumber ganesh ke saath paisa share karta hai. baaki ke log bhi isi
tarah kuch paisa share karte hain. tabhi ganesh ke paas ek phone aata hai ki
unhien ek electrican chahiye. Ganesh muskuraakar haan karta hai ki electrician
milega.
Yahaan par hum kuch montages dekhte hain jismein ganesh aur uska gang alag
alag jagah plumber electrician banker jaate hain. wahaan paise par haath saaf
karte hain. ganesh ke kuch aadmi bank ki taraf se call karte hain aur online
fraud bhi karte hain.
Isi beech ganesh ko ek maid ke liye requirement aati hai. ganesh ki wife aarti
maid banne ke liye taiyaar hoti hai. aarti ghar mein pahuchti hai. ghar kaafi
acchha hai. Aarti ganesh ke saath plan karti hai ki yahaan bada haath maarna
padega isliye pehle inka bharosa jeetna hoga.
Aarti wahaan man lagaakar kaam karne lagti hai. ghar mein ek couple hain
Mrinalini aur Jaideep. Unki nayi nayi shaadi hui hai aur koi bacha nahin hai.
aarti ke kaam se donon kaafi khush hain aur dheere dheere us par kaafi
bharosa karne lagte hain. yahaan tak ki use kabhi kabhi paise nikaalne ke liye
ATM bhi dete hain. ek baar aarti ek chhoti chori bhi karti hai. wo Mrinalini ka
necklace bhi churaati hai lekin family us par shaq nahin karti hai.
Ganesh ab aarti ko kehta hai ki kaafi time ho chuka hai ab wo jaldi se apne
kaam ko anjaam de. Finally, ek din aarti us ghar mein chori kartii hai aur
wahaan se bhaag jaati hai. Jaideep police mein complaint karta hai.
Police ke paas aise hi aur bhi cases aa rahe hain. Police maamle ki chhanbeen
mein jut jaati hai aur chhanbeen ke dauraan use pataa chalta hai ki ye saari
choriyaan jahaan bhi hui hain. unmein ek common baat hai ki in logon ne same
placement agency mein phone kiya tha.
Police jaamch mein jutati hai aur call records wagairah ke zariye is is gang ko
giraftaar karti hai. ganesh aur uska gang apne saare jurm kaboolte hain aur
saath hi ye bhi bataate hain ki wo choriyan chhoti karte the taaki log zyaada
dhyaan na dein.
Saath hi wo bacchon ko bhi isliye kidnap karte the taaki bacchon ke chakkar
mein unki chori par kisi ka zyaada dhyaan na jaaye. Kuc time baad wo bachhon
ko khud hi chhod dete the.