Baat Ka Batangad Shortfilm Script
Baat Ka Batangad Shortfilm Script
Mrs Sheela Jain (On Phone with other lady ) : Hello Mrs Sharma aap kab aayi US se .
Mrs Sharma ( On Phone) : Hi Sheetal , I came 2 days back , thodi tired hu mild cold and cough. Mujhe ek
milk ka packet chahiye tha . Milkman ne aj diya hi nahi
Mrs Sheela Jain ( after some thought ) – sorry I don’t have extra pack but you , take care . Milte hai
Mrs Sheetal Jain – Gives suspicious expression and then pickup the phone and call her friend from the
society .
Another lady ( Sapna) Picks up the Phone – Hi Sheetal kaise ho , lockdown mai time kaise cut raha hai
Mrs Sheetal Jain – bus yaar sab thik hai , are pata hai Mrs Sharma ka Phone aaya tha wo hi jo mere floor
per rehti hai.Phone per bahut Khans rahi thi , keh rahi thi cold and cough hai . Mujhe to thoda tension
ho gaya . But tum kisi ko bolna mat ki aisi koi baat hui hai . Chalo bbye
Hetal : Hi Sapna , kya haal . maine tumse Suji ke laddoo ki recipe ke liye phone kiya tha . Bata na
Sapna : - Are ha batati hu pehle ye Suna kya , Mrs Sharma US se aayi hai do din pehle . Bahut bimar hai
wo , CORona ke symptoms lag rahe hai . Mai to bahut dari hui hu.
Hetal : Are kya baat kar rahi ho , ye to such mai bahut chinta ki baat hai .
Sapna – Ha chal mai rakhti hu , dekh per kisi se bolna mat Khamkha log baate karenge.
Hetal : Ok bbye
Hetal then to his husband – Mithesh Mrs Sharma Corona Positive hai , hume turant doctors ko inform
karna chahiye and Secretary ko bhi
Mithesh calls Society Secretary – Sir kya pata hai aapko in Wing B , 8 th floor there seems to be a Corona
Positive patient returned from USA .
Ambulance and medical Authorities arrives at Mrs Sharma flat along with Secretary .
Medical Staff – Mam , hume information mili hai ki aap Corona positive , aap ko abhi humare saath
chalna hoga Quarantine ke liye .
Mrs Sharma – are ye kisne keh diya aap se . I m not Corona Positive , wait let me show you my reports .
we got it tested as soon as we landed in India , also we are doing self isolation for next 15 days . Ye sab
afvah hai . Mai aur meri family perfectly healthy hai , we are just tired and I have mild cold .
Medical Staff – Sorry hume kisi ne galat information de di . Mr secretary aapne bina inse pooche , jane
hume bula liya . Is critical time mai , aapne humara kimiti samay barbad kiya and itne resources .Be
careful in future .
Corona mahamari ke bare mai Jankar baniya , afvaho per dhyan mat dijiye . Apne aur apne parivar ka
khyal rakhiye . Padosiyo, Senior citizens ki madad kariye .