0% found this document useful (0 votes)
10K views3 pages

Anokhi Dastan

The story is about a kind elephant named Simi who lives in the jungle. She faces unkindness from her mother and sister but remains caring for others. She later marries and has a son named Chunnu who is born with special abilities like flying. Chunnu uses his powers to help others in the jungle. Over time, all the animals respect Chunnu for his kindness and bravery, and eventually elect him as their leader of the jungle. Simi is happy to see her son succeed and bring her relief after facing hardships in the past.

Uploaded by

Abdurrehman Khan
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
10K views3 pages

Anokhi Dastan

The story is about a kind elephant named Simi who lives in the jungle. She faces unkindness from her mother and sister but remains caring for others. She later marries and has a son named Chunnu who is born with special abilities like flying. Chunnu uses his powers to help others in the jungle. Over time, all the animals respect Chunnu for his kindness and bravery, and eventually elect him as their leader of the jungle. Simi is happy to see her son succeed and bring her relief after facing hardships in the past.

Uploaded by

Abdurrehman Khan
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 3

Anokhi dastan

Aik dafa ka zikar hay aik jangal may aik bohot hi pyari si haatni rehti thi. Os haatni
ka nam Simi ta. Simi bohot hi achi adaat ki malik thi. Apni khoobsorti aor khush
ikhlaqi ki waja say os nay sab kay dil jeet liye thay. Wo bharon ka kehna manthi
aor apni sahelion ka bohot khyal rakhti. Jangal kay saray janwar os say mohabbat
karty siwaye oski sotheli maa aor behen kay. Wo dono is say bohot kam leythay
lekin wo uff thak na karti. Sara din kam karnay kay baad osay bohot thora sa
khanay ko milta lekin os nay ye baat kabhi kisi ko nahi bataye. Bas wo sirf apni aik
dost chirya say hi apnay dil ki batein karteen, apna dukh dard sunati.

(Simi) deikho chirya rani aaj to ammi nay had hi kardi. Mujhay bohot maara wo
bhi sirf is baat par kay may nay apni behen ko khana thori dair say dia, mujhay
bohot dard ho raha hay.

(Chirya) Simi thum bohot achi ho, opar wala is ka sila thumhay zaroor dey ga".

Waqt guzarta raha Simi bari ho gaye. Os ki shadi apnay aik dost say ho gayi. Kuch
arsa baad Simi haamla ho gaye yani opar wala os ko aulad jesi naimat say
nawaznay laga. Simi ka shohar Tunnu os ka bohot khyal rakhta. Simi khuda ka har
waqt shukar ada karti thi kay os kay buray din khatam howy. Osay anay walay
bachay ki bohot fikar hotee, kyunke jab Simi paida howe thi tab os ki ammi foat
ho gaye thi. Simi har waqt dua karti kay os ko zindagi aor sehat milay thakay wo
apnay bachay ki bohot achi tarbiyat kar sakay.

Simi ko kuch arsay kay baad herat ka ghatka laga jab os nay deikha kay os kay pait
say roshni nikal rahi hay.

(Simi) Ya Khuda ye kia hay! Kia meri aulad koi ghair mamooli makhlooq hay.

Hairat ki baat ye thi kay hamal kay pooray marhalay ma osay koi takleef nahi
howe. Ab wo waqt agaya jis ka sab ko intezar ta. Simi kay han aik bohot hi piyara
sa baby paida howa. Os ki ankhein bohot khoobsorat thi. Jab os nay ankhein
khoolein to sab heran reh gaye. Os ki ankhein ghair mamooli tor par dilkash aor
haseen thein.

(Bandar) aray Simi mubarik ho, ham nay itna khoobsurat bacha is say pehle kabhi
nahi deikha. Mubarik, mubarik"

(Chirya) Arayy jao sab yahan say, ab bachay ko nazar lagao gy kia?

Sab nay bachay ko piyar kia aor chal diye. Raat howe to Simi nay deikha os ka beta
jiska naam onhon nay Chunnu rakha ta baray hatiyon kay ki tarah na sirf ghoom
phir raha tha balkay kabhi doorta, kabhi orta.

(Simi) ya khuda rehem! Ye kia hay.

Chunnu apni maa kay pas ayaa aor bola

(Chunnu) meri piyare maa, may opar walay ki taraf say thumhari takaleef ka
inaam hun. Muj say mat darye, ayeee may apko sair karata hun.

Chunnu nay apni maa ka hath pakra aor puurrr say urr gaya. Os nay to aj thak is
jangal ko poora nahi deikha ta. Ab jo itna piyara jangal deikha to heran reh gaye
kay ye jangal itna bara aor wasee hay. Chunnu nay maa ko aik jaga otara. Darakht
ki taraf deikha to do surk surk saib gir gaye. Dono say saib khaye. Qareeb ki nadi
say paani piya aor urr kar wapis apnay ghar pohonchay. Simi ko ajj bohot ajeeb
tajarba howa. Os nay to kabhi aisa socha bhi nahi tha.

Aik din Chunnu apnay doston kay sath khaltay kheltay bohot door nikal gaya.
Itifaaq say os yaraf kuch shikare nikal aye. Ab ko unhon nay itnay saray piyaray
piyary hathi deikhay to foran on ko pakarnay ki koshish May lag gaye. Sab ko aor
to kuch samaj may nahi aya unhon nay doar laga di. Ab Chunnu akela reh gaya,
pehle to wo ghabraya magar fooran hi sambhal gaya. Chunnu nay jo ghoar say
shikariyon ko deikha to sab kay sab pehle to hawa may buland howe aor phir
dhramm say zameenn par gir gaye. Zameen par girthay hi apni badooqayn choor
kar onhoon nay doar lagaye aor peechay mur kar na deikha. Chunnu ko on par
bohot hansi aye.
Chunnu aksar apnay doston kay sath mil kar sharartein karta. Aik din do bandar
aik drakht par bethay thay. Chunnu ko shararat sooji, os nay bandaroon ki taraf
deikha bas phir kia tha dono aik dosray lo thapar marnay lagay.

(Bandar) aray bhai ye kia ho raha hay. Mah thumhayn thapar kyun mar raha hun

(Bandar 2) bhai maaf kar do may bhi to thumharay moon ko laal kar chuka hun

Saray janwar on bandaron ki harkatein aor batein sun kar hansnay lagay. Sab nay
bohot enjoy kia. Bandaroon ki ajeeb ajeeb harkaton ko jis par on ka koi control
nahi tha. Chunnu nay jab ye sab apni ammi ko bataya to Simi nay osay bohot
danta aor samjha ke dil azarii karnay walay ko opar wala bilkul pasand nahi karta
balke os ki saza deta hay.

Kuch dino kay baad os nay deikha ke aik khar gosh aor aik kichway ka muqabla
hay. Kichwa bichara ghaseet ta ghaseet ta ja raha tha. Chunnu ki os par bohot
rehem aya. Os nay apni taqat say kichway ko dorra dia. Kichwa jo jeeta to sab say
taliyan bajein aor osay mubarik baad di.

(Khar gosh) aray kichway miyan aj to jeet gaye, agli baar maza chakhaonga.

(Kichwa) ja ja bhai agli baar may hi jeetonga, kamal ho gaya bhai wah wah.

Is tarah waqt guzarta raga. Chunnu bara aor samajdaar ho gaya. Wo har aik ki
madad karta. Har kisi ka khyal rakhta, jangal ko dusano say bachata. Aik din
tamam janwaron nay mil kar dushmano say bachata. Aik din tamam janwaron nay
mil kar Chunnu ko apna badshah banany ka socha. Saray janwar maidan may
akhaty howe. Sab nay apni apni raye di. Sher ko bhi is baat par koi aitiraz nahi ta.
Lehaza Chunnu ko badshah bana diya gaya. Ab Simi apnay mehel may hansi
khushi rehnay lagi. Os nay apni soteli maa aor behen ko dil say maaf kar dia
kyunke opar walay nay osay on dukhon kay badlay may malka bana dia ta.

To bachon har dukh kay baad dukh zaroor hota hay. Har takleef kay baad rahat
zaroor milti hay, bas himmat nahi harni chaiye. Acha bye bye.

You might also like