ﻗﺮﺑﺎﻧﯽ ﮐﯿﻮں ﮐﺮﺗﮯ ﮨﯿﮟ؟
QURBANI KIUN KARTAY HAYN?
Translation Department (Dawat-e-Islami) nay is ko Roman-
Urdu main compose kiya hay. Agar is mayn koi kami-bayshi
paeyn to Translation Department ko aagah kar kay Sawab kay
haqdar baniye.
Translation Department (Dawat-e-Islami)
‘Aalami Madani Markaz, Faizan-e-Madinah,
Mahallah Sodagran, Purani Sabzi Mandi, Bab-ul-Madinah,
Karachi, Pakistan
Contact #: +92-21-34921389 to 91
[email protected] www.dawateislami.net
ۡ ۡ ٰ
ٰ ۡ ٰ ۡ ٰ
ۡ ۡ
ۡ
!"
() *ۡ 0
,
ٰ 0ۡ ٰ /"ۡ $ ()*ۡ +
ٰ ۡ ٰ
ۡ
ۡ
, -. ,' #$ %#& $#'
Kitab Parhnay ki Du’a
Az: Sheikh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat, Bani-e-Dawat-
e-Islami, Hazrat ‘Allamah Maulana Abu Bilal Muhammad
Ilyas Attar Qadiri Razavi (
)
Deeni Kitab ya Islami Sabaq Parhnay say Pehlay Zail mein Di
hui Du’a Parh Lijiye jo Kuch Parhayn gay yaad rahay
ga. Du’a yeh hay
ش
َ ََ ۡ
ۡ ُ ۡ ك َوان حكمت انَ ا َ ّٰلل ُه َّم ۡاف َت ۡح َعلَ ۡي
ِ
َ ۡ ۡ َ َ َۡ َ َ َ َ َ ۡ َ َ ۡ َ َ
ِكرام# ِل وا%علينا رحتك يـا ذا ال
Tarjamah
Aye Allah ! " # hum par ‘ilm-o-hikmat kay darwazay khol day
aur hum par apni rahmat nazil farma! Ay ‘azamat aur buzrugi
walay!
(Al-Mustaṭraf, Jild. 1, Safhah. 40)
Note: Awwal aakhir aik aik bar durood-e-pak parh lain.
iii
www.dawateislami.net
Fehrist
QURBANI KIUN KARTAY HAYN? ........................................... 1
Du’ay Attar ....................................................................................... 1
Qurbani Hukm-e-Khudawandi par ‘amal karnay kay liye ki jati
hay ...................................................................................................... 1
Qurbani kis par Wajib hay? ............................................................ 3
Kiya Musafir par qurbani wajib hay? ............................................ 3
Qurbani kay janwar ki ‘umar ka I’tibar hay ya
daant nikalnay ka? ........................................................................... 3
Janwar 2 daant ka hay ya ziyadah ka, yeh pehchan kayse ho? ... 6
Baray janwaron ki choti gaariyon mayn ghusa kar lana kaysa? 6
Kon say din qurbani karna afzal hay? ........................................... 7
Shikanjay mayn jakar kar janwar zabah karna kaysa? ................ 9
Qurbani kay janwar kay baal oon waghayrah katna kaysa? .....10
Bay wuzu ya bay namazi ka zabeeha ...........................................10
Ijtima’i qurbani ki ihtiyatayn .......................................................11
Udhar lay kar qurbani karna kaysa?............................................12
Muharram-ul-Haraam mayn qurbani
ka gosht kha saktay hayn?.............................................................13
Qurbani kay janwar kay gosht kay 3 hissay karna.....................14
Qurbani kis par Wajib hay? ..........................................................14
Qurbani kay janwar ki qeemat batana munasib hay ya
khamoshi ikhtiyar karna? .............................................................15
Kis janwar ki qurbani ba’is-e-fazeelat hay? ................................17
iv
www.dawateislami.net
Fehrist
Faut shudah walidayn kay naam ki
qurbani karnay ka hukum ............................................................18
Kiya Qurbani kay janwar ko nehlaya ja sakta hay? ...................18
Kiya qurbani ki bhi qaza hoti hay? ..............................................19
Qurbani wajib ho magar raqm nah ho tou kiya karay? ............19
Qurbani kay janwar kay galay mayn ghanti aur
pa`on mayn ghungru bandhnay ka hukum ...............................20
Janwaron kay galay mayn ghanti aur pa`on
mayn ghungru bandhnay kay fawa`id .......................................21
Kam ‘Umar farbah janwar ki qurbani ka hukum ......................22
Jitnay afrad par qurbani wajib ho un sab
ko qurbani karna hogi ...................................................................22
v
www.dawateislami.net
ۡ ۡ ٰ
ٰ ۡ ٰ ۡ ٰ
ۡ ۡ
ۡ
!"
() *ۡ 0
,
ٰ 0ۡ ٰ /"
ۡ ۡ ,- ٰ ۡ ٰ
ۡ
ۡ
$ ( ) *+ . ,' #$ %#& $ #'
QURBANI KIUN KARTAY HAYN?
Du’ay Attar
Ya Allah Pak! Jo koi 23 safhaat ka risalah ‘Qurbani kiun kartay
hayn?’ parh ya sun lay, usay har saal khush dili say qurbani
karnay ki sa’adat ‘ata farma aur us ki qurbani ko us kay liye pul
sirat ki suwri bana.
+ ! $! ۡ & ' )
ۡ َ ۡ ّ َّ َ ۡ ٰ
( مِي#ب اِ ِ امِي ِباه ِ ال
Durood Shareef ki fazeelat
Sarkar-e-Madinah + ! $! & , )
( ka farman hay: Ay logon! Bay
shak baroz-e-qiyamat us ki dahshaton aur hisab kitab say jald
najat panay wala shakhs woh hoga jis ney tum mayn say mujh
par dunya kay andar bakasrat Durood Shareef parhay hoon
gey. (Musnad Firdaus, jild 2, safhah 471, Hadees 8210)
َ ُ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ 2
َ َ ۡ ُّ َ
م َّمد2 6ا صل الب ِ ۡيب صلوا
Qurbani Hukm-e-Khudawandi par ‘amal karnay kay
liye ki jaati hay
Suwal: Hum qurbani kiun kartay hayn?
1
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Jawab: Qurabani ka hukum Allah Pak aur us kay Piyaray
Rasool + ! $! & , )
( ney diya hay aur yeh chand shara`it kay
sath musalman par Wajib hoti hay is liye hum qurbani kartay
hayn aur kartay rahayn gey. Allah Pak ney qurbani ka
hukum dete hu`ay Quran-e-Kareem mayn irshad farmaya:
ۡ
:392 ۡ 45 6$7 8 1 &
Tarjama-e-Kanz-ul-Iman: Tou tum apnay Rab kay liye namaz
parho aur qurbani karo.’
(Parah 30, Surah Al-Kawsar, Ayah 2)
Tou is Hukm-e-Khudawandi par ‘amal karnay kay liye hum
qurbani kartay hayn. (Is moqe’ par Madani Muzakaray mayn
shareek Mufti Sahib ney farmaya:) Is Ayat-e-Mubarakah mayn
bhi Qurbani ka zikr hay:
ۡ ۡ ٰ ۡ ۡ
ۡ ۡ
:IJ9ۙ 2
ٰ F GH <ۡ =#@A B#4C D "E <= !> ? 1;
Tarjama-e-Kanz-ul-Iman: Tum farmao bay shak mayri namaz
aur mayri qurbaniyan aur mayra jeena aur mayra marna sab
Allah kay liye hay jo Rab saray jahan ka.’
(Parah 08, Surah Al-In’aam, Ayah 162)
Isi tarah jab Nabi-e-Kareem + ! $! & , )
( ki bargah mayn
Sahaba-e-Kiraam
/#
, .
- ney ‘arz ki keh yeh qurbaniyan kiya
hayn? Tou Aap + ! $! & , )
( ney irshad farmaya: ‘’ ﺳ ﻨ ﺔ ﻴﻜ ﻢ ﺮﻫ ﻴﻢ
2
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
(Ya’ni qurbani karna) tumharay baap Ibraheem 20 1 # ka
tareeqa-e-kar hay. (Ibn-e-Majah, vol. 3, p. 531, Hadees 3127) Aik aur
Hadees-e-Pak mayn hay: Jo Qurbani ki wus’at rakhta ho aur
qurbani nah karay tou who hamari ‘eid gah kay qareeb nah
aa`ay. (Ibn-e-Majah, jild 3, safhah 529, Hadees 3123)
Qurbani kis par Wajib hay?
Suwal: Qurbani karna kis par Wajib hay?
Jawab: 10 Zul Hijja-til-Haraam ki subh sadiq say ley kar 12 Zul
Hijja-til-Haraam kay ghuroob-e-aftab kay darmiyan agar koi
musalman ‘aaqil, baaligh, muqeem aur sahib-e-nisab ho aur
who nisab is kay qarz aur zaruriyat-e-zindagi mayn
mustaghraq (ya’ni dooba huwa) nah ho tou is surat mayn
qurbani wajib hogi.
Kiya Musafir par qurbani wajib hay?
Suwal: Kiya musafir par qurbani wajib hay?
Jawab: Jo Shar’an musafir hay us par qurbani wajib nahin.
Qurbani kay janwar ki ‘umar ka I’tibar hay ya daant
nikalnay ka?
Kiya aisay janwar ki qurbani ja`iz hay jo apni qurbani ki ‘umar
puri kar chuka ho magar us ney daant nah nikalay hoon? Baqr
‘eid kay moqe’ par biyopari gahakon sy kehtay hayn keh
hamaray is janwar ney agarcheh daant nahin nikalay magar
3
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
yeh apni qurbani ki ‘umar puri kar chuka hay tou gahak woh
janwar khareed ney kay liye tayyar nahin hotay aur kehtay
hayn keh daant nikalna zaruri hay, agar wahi janwar biyopari
aadhi qeemat par dene kay liye tayyar ho ja`ay tou gahak usay
khareed lete hayn, un ka aisa karna kaysa?
Jawab: Jo janwaro qurbani ki ‘umar puri kar chukay hoon un
ki qurbani ja`iz hay agarcheh unhon ney dant nah nikalay
hoon. Qurbani kay ja`iz honay kay liye oont ki ‘umar kam az
kam 5 saal, ga`ay ki 2 saal aur bakra, bakri, dunbah, dunbi aur
bhayr ki 1 saal hona zaruri hay. Albattah agar dunbah ya bhyr
ka 6 mahinay ka bachah itna bara ho keh door say daykhnay
mayn saal bhar ka ma’loom hota ho tou us ki qurbani bhi ja`iz
hay. Yaad rakhiye! Qurbani ja`iz honay kay liye janwaron ki
‘umar puri hona zaruri hay nah keh daant nikalna kiun keh jo
janwar azaad ghoom phir kar chartay aur noch noch kar ghaas
khatay hayn who musalsal danton say ghas kheenchtay rehnay
kay sabab apni qurbani ki ‘umar puri honay say pehlay hi
daant nikal dete hayn aur jo janwar bandhay hu`ay hotay hayn
woh basa auqaat ‘umar puri honay kay bawujood daant nahin
nikal patay. Janwaron ki ‘umar kay mu’amilay mayn log
biyopariyon par is liye I’timad nahin kartay keh aksar say jhoot
aur dhokadahi kay ba’is un ka biyopariyon say I’timad uth
chuka hota hay. Ba’az biyopari janwaron ki kati hoi dum tape
laga kar chor dete hayn aur jis rang ka janwar kay baal hotay
hayn tape par isi tarah ka rang laga dete hayn jis kay ba’is
khareedar ko yeh ma’loom nahin ho pata keh janwar ki dum
4
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
kati hoi hay aur phir jab woh bichara usay ghar le ja kar dum
say pakarta hay tou dum nikal kar us kay hath mayn aa jati
hay. Isi tarah ba’az biyopari janwaron kay dant dikhatay hu`ay
bhi dhoka dahi say kaam lete hayn. Agarcheh sab biyopari
dhokay baaz nahin hotay magar log imandar biyopariyon par
bhi is liye i’timad nahin kartay keh doodh ka jala chach
phoonk phoonk kar peeta hay. Agar biyopari ba-shara’ aur
nayk aadmi hay aur woh kehta hay keh janwar ki ‘umar puri
hay, gahak ko is par i’timad hay keh woh janwar ki ‘umar
bataney mayn jhoot nahin bol raha tou is surat mayn agar
gahak ney us say janwar khareed kar qurbani kar li tou us ki
qurbani ho ja`ay gi agarcheh daant nah niklay hoon. Behtar
yeh hay keh qurbani ka janwar chahay woh ga`ay ho ya bakra 4
daant ka hona chahiye, bakra agar 4 daant ka ho tou us ka
gosht ‘umdah hota hay magar hamaray yahan 2 daant ki rasam
chal pari hay. Janwar khareednay walay bhi 2 daant ka
mutalbah kartay hayn aur biyopari bhi 2 daant ki sada`ayn
lagatay hayn. Basa auqaat janwar 8 daant (ya’ni bari ‘umar) ka
hota hay magar biyopari khareedar ko sirf do daant numaya
tor par dikhatay hayn aur baqiyah daand apni ungliyon say
chupa lete hayn aur phir forun janwar ko munh band kar dete
hayn. Rahi baat yeh keh jis janwar kay kam ‘umari ki wajah say
nahin niklay hotay log usay aadhi qeemat mayn khareed lete
hayn tou yeh aadhi qeemat par khareednay walay shayad gosht
farosh hotay hoon gey jo aisay janwaron ko qurbani kay liye
nahin balkeh zabah kar kay un ka gosht bechnay kay liye
khareed lete hongey.
5
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Janwar 2 daant ka hay ya ziyadah ka, yeh pehchan kayse
ho?
Suwal: Janwar 2 daant ka hay ya ziyadah ka, is ki pehchan
kayse ki ja sakti hay?
Jawab: Janwar 2 daant ka hay ya ziyadah ka, is ki phechan yeh
hay keh jo daant achi tarah nahin niklay hotay woh saray
chotay say aik line mayn safaydi ki tarah nazar aatay hayn aur
jo daant nikal chukay hotay hayn woh us safaydi say thora hat
kar ubhri hoi jagah say nikaltay hayn aur choray hotay hayn
aur un par kuch peelahat si hoti hay. Agar Janwar 8 daant ka
bikul za’eef hay tou us kay aathon daant aik hi line mayn nazar
aa`ayn gey aur un par peelahat bhi dikhai de gi. Bahar hal
janwar kay danton ki pehchan har aik nahin kar sakta lihaza
janwar khareedtay waqt tajarba kaar aadmi ka sath hona bahut
mufeed hay.
Baray janwaron ko choti gaariyon mayn ghusa kar lana
kaysa?
Suwal: Qurbani kay janwaron ko mandi say khareed kar ghar
lanay kay liye gariyon ki zarurat parti hay, ba’az log paysay
bachanay kay liye baray janwaron ko bhi choti gariyon mayn
zabardasti ghusa kar, lita kar aur rasiyon say band kar latay
hayn jis ki wajah say janwaron ko bahut takleef hoti hay aur
basa auqat woh shadeed zakhmi ho jatay hayn is baray mayn
kuch madani phool irshad farma di jiye.
6
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Jawab: Jis tarah insan ko takleef-deh cheezon say aziyat
puhanchti hay aur woh apnay aap ko un say bachanay ki
koshish karta hay zahir hay isi tarah janwaron ko bhi takleef
deh cheezon say aziyat hoti hay. Chand payson ki khatir is
tarah baray janwaron ko choti gariyon mayn zabardasti ghusa
kar, lita kar aur rasiyon say band kar lana bilawajh janwaron
ko eeza dena aur un par zulm karna hay. Janwaron par zulm
karna musalman par zulm karnay say bhi sakht tar hay kiun
keh musalman tou muqablah karay ga, ‘adalat mayn ja kar case
kar de ga is kay ‘ilawah bahut kuch kar sakta hay.
Laykin yeh bay zaban janwar kis kay agay faryad karay ga.1 Yad
rakhiye! Mazloom janwar balkeh mazloom kafir ki bhi bad
du’a qubool hoti hay. Jinhon ney aisa kiya hay woh tobah
karayn aur aa`indah har giz is tarah kay andaz ikhtiyar nah
karayn.
Kon say din qurbani karna afzal hay?
Suwal: ‘Eid kay kon say din qurbani karna afzal hay?
Jawab: ‘Eid kay teeno din qurbani karna ja`iz hay albattah
pehlay din qurbani karna afzal hay. ‘eid kay pehlay din
‘umuman qassab ziyadah paise lete hayn tou ba’az log thoray
1
Janwar par zulm karna zimmi kafir par (Ab duniya mayn sab kafir harbi hayn)
zulm karnay say ziyadah bura hay aur zimmi par zulm karna musalman par zulm
karnay say bhi bura hay kiun keh janwar ka mu`iyyin-o-madadgar Allah kay siwa
koi nahin. (Durr-e-Mukhtar, vol. 9, p. 663)
7
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
say paisay bachanay kay liye afzal ‘amal ko chor kar ‘eid kay
dusray ya teesray din qurbani kartay hayn. Yun chand paison
ki khatir itna mehnga janwar lanay kay bawujood pehlay din
qurbani karnay ki fazeelat panay say khud ko mahroom kar
dete hayn. Pehlay din qassab ka ziyadah raqam layna agarcheh
nafs par giran guzarta hay magar hamayn apna yun zehan
banana chahiye keh jo nayk ‘amal nafs par jitna ziyadah giran
guzarta hay us ka sawab bhi utna hi ziyadah ‘ata kiya jata hay.
(Safar ki Ihtiyatayn, safhah 24)
Yaad rakhiye! ‘Eid-ul-Azha kay din janwar zabah karnay say
afzal koi ‘amal nahin hay. Lihaza koi majburi nah ho tou
pehlay din hi qurbani ki ja`ay agarcheh kuch raqam ziyadah
kharch hogi lekin us ko nuqsan nah samjha ja`ay balkeh us kay
‘iwaz aakhirat mayn milnay walay ‘azeem sawab par nazar
rakhi ja`ay. Agar kisi kay ghar mayn dusray ya teesray din
dawat hoti hay is wajah say woh pehlay din qurbani nahin
karta tou usay chahiye keh pehlay din qurbani kar kay us ka
gosht fridge mayn rakh de aur aglay din da’wat mayn isti’mal
kar lay kiun keh aik 2 din mayn gosht kay zaiqay mayn koi
khas farq nahin pata. Faqat lazzat-e-nafs kay liye pehlay din
kay ‘azeem sawab say mahroom ho jana danishmandi nahin
balkeh mahroomi hay. Jis tarah tajir maal kay nafa’ par nazar
rakhta hay isi tarah har musalman ko chahiye keh woh maal
kay nafa’ say ziyadah naykiyon kay nafa’ par nazar rakhay aur
is kay liye koshish bhi karta rahay.
8
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Shikanjay mayn jakar kar janwar zabah karna kaysa?
European mumalik mayn chotay janwar ko zabah karnay kay
liye makhsoos shikanjay mayn jakra jata hay taa keh rasiyon
say bandhne aur pakarne ki mushaqqat say bacha ja sakay, aisa
karna kaysa hay?
Jawab: Bakray aur dunbay waghayrah ko makhsos shikanjay
mayn jakar kar zabah karnay mayn aur tou koi harj nahin lekin
aik sunnat tark ho jati hay woh yeh keh zabah karnay wala
apna daya (ya’ni seedha) pao janwar ki gardan kay da`ayn
(ya’ni seedhay) hissay (ya’ni gardan kay qareeb pehlu) par
rakhay aur zabah karay. Albattah is shikanjay kay zari’ay
jakarnay mayn aik fa`idah bhi hay keh janwar kai ghayr zaruri
takaleef say bach jata hay masalan ba’az log bakray ko utha kar
patakhtay hayn ya pathreeli zameen par giratay hayn jo
yaqeenan bila wajah ki iza hay lekin is makhsus shikanjay kay
zari’ay litanay mayn yeh donon takaleef nahin hoon gi. Neez is
shikanjay ki hiyat aisi hay keh janwar ko lita kar payt say jakar
liya jata hay aur pa`on azaad hotay hayn tou yeh tibbi lihaaz
say bhi acha hay is liye keh janwar jitna ziyadah hath pao
maray ga utna hi muzir-e-sehat khoon beh ja`ay ga. Bahar hal
shikanjay mayn kas kar zabah karayn ya rasiyon say bandh kar,
janwar ko bay ja takleef dene ki har giz ijazat nahin. Jo log
bakray ki gardan chatkha dete hayn ya baray janwar ki chura
ghonp kar dil ki ragayn kaat dete hayn ya zabah kartay hu`ay
haddi par churi martay hayn tou unhayn is say bachna zaruri
9
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
hay. Khuda na khuastah marnay kay ba’d yehi janwar musallat
kar diya gaya tou phir kiya banay ga?
Qurbani kay janwar kay baal oon waghayrah katna
kaysa?
Suwal: Qurbani kay ba’az janwaron kay jism par bahut baray
baray baal hotay hayn, unhayn zabah kartay waqt agar
dushwari ho rahi ho tou kiya un baalon ko kaat saktay hayn?
Agar kisi ney woh baal kaat diye tou un baalon ka kiya hukum
hay?
Jawab: Qurbani kay janwar kay baal aur oon waghayrah katna
makruh hay. Agar kisi ney baal ya oon waghayrah kaat di tou
un cheezon ko nah tou woh apnay isti’mal mayn la sakta hay
aur nah hi kisi ghani ko de sakta hay balkeh un balon aur oon
waghayrah ko kisi shar’i faqeer par sadaqah karna hoga. Rahi
baat zabah kay waqt dushwari paysh aanay ki tou us kay liye
puray badan kay baal katna tou door ki baat galay kay baal
katnay ki bhi zarurat nahin balkeh galay par pani waghayrah
daal kar jagah banai ja sakti hay.
Bay wuzu ya bay namazi ka zabeehah
Suwal: Qassab ‘umuman bay wuzu, bay namazi aur daarhi
munday hotay hayn tou kiya un say janwar zabah karwana
durust hay? Neez janwar ko zabah karnay kay chand madani
phool bhi bayan farma di jiye.
10
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Jawab: Janwar zabah karnay kay liye ba-wuzu, namazi aur
daarhi wala hona shart nahin lihaza agar daarhi munday, bay-
wuzu aur bay namazi shakhs ney bhi janwar zabah kiya tab bhi
janwar halaal ho ja`ay ga.
C Zabih (ya’ni zabah karnay walay) ka mard hona bhi shart
nahin, ‘aurat ya samajhdar bachah bhi zabah kar saktay
hayn albattah jo bhi zabah karay usay zabah kay waqt
Allah ka naam lena zaruri hay. (Durr-e-Mukhtar, jild 9, safhah
496 Makhuzan)
C Agar kisi ney jaan boojh kar Allah ka naam chor diya
masalan 2 aadmi mil kar zabah kar rahay thay, aik ney yeh
soch kar Allah ka naam nah liya keh dusray ney keh diya
hay mayra kehna zaruri nahin tou janwar murdar ho ja`ay
ga. (Durr-e-Mukhtar ma’ Rad-ul-Muhtar, vol. 9, p. 499)
C Zabah kay waqt ‘ ’ ﺴ ﻢ ﻛkay alfaz kehna behtar hay,
shart nahin lihaza agar kisi ney faqat lafz ‘Allah’ keh kar
churi chala di tab bhi janwar halaal ho ja`ay ga. (Fatawa
Hindiyyah, vol. 5, p. 285)
C Agar bhulnay kay sabab Allah ka naam nah liya tab bhi
janwar Halaal ho ja`ay ga. (Hidayah, jild 2, safhah 347)
Ijtima’i qurbani ki ihtiyatayn
Suwal: Ijtima’i qurbani karnay walon par kiya kiya shar’i
zimmahdariyan banti hayn?
11
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Jawab: Ijtima’i qurbani kay masa`il bahut paycheedah aur
mushkil hayn lihaza ijtima’i qurbani karnay walon kay liye
lazim hay keh woh is say muta’liqah zaruri masa`il seekhayn ya
phir ‘Ulama`ay Kiraam ki mukammal rehnumai mayn hi
qurbani karayn. Bad qismati say logon ney ijtima’i qurbani ko
aik karubar bana liya hay, ba’az idaray bhi ‘Ulama`ay Kiraam
ki rahnumai liye beghayr ijtima’i qurbani kartay hayn aur
khullam khulla ghaltiyan kar kay logon ki qurbaniyan zai’ah
kar bethtay hoon gey. Har aik ko ‘azab-e-aakhirat say darna
chahiye aur shar’i taqazay puray honay ki surat mayn hi
ijtima’i qurbani mayn hath dalna chahiye. ‘Aashiqan-e-Rasool
ki Madani Tahreek Dawateislami mayn ijtima’i qurbani Dar-
ul-Ifta Ahl-e-Sunnat ki mukammal rahnumai mayn hi hoti
hay. Mulk aur bayrun-e-mulk ijtima’i qurbani ka iradah
rakhnay walay zimmahdaran ki pehlay tarbiyat hoti hay. Phir
tarbiyati nashist mayn shirkat karnay walon ka imtihan hota
hay aur jo imtihan mayn kamiyabi hasil kartay hayn tou
unhayn hi madani markaz ki taraf say ijtima’i qurbani ki ijazat
milti hay. Neez Dar-ul-Ifta Ahl-e-Sunnat ki taraf say ‘Ijtima’i
Qurbani kay madani phool’ kay naam say aik risalah bhi
shai`ah kiya ja chuka hay.
Udhar lay kar qurbani karna kaysa?
Suwal: Agar kisi kay pas paisay nah hoon tou kiya woh udhar
lay kar qurbani kar sakta hay?
12
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Jawab: Agar qurbani wajib hay aur paisay chuttay nahin hayn
karubar mayn lagay hu`ay hayn ya koi maal khareeda huwa
hay jisay baychna nahin chahatay tou ab agar kisi say paise
udhar lay kar qurbani kar li tou harj nahin hay. Albattah agar
qurbani wajib nahin hay tou zahir hay udhar lay kar qurbani
karna zaruri nahin hay lekin agar qurbani ki tou sawab milay
ga magar aisa karna bara risk hay keh phir qarzah utray ga
nahin aur yun larai jhagron kay masail bhi ho saktay hayn
lihaza mayra mashwarah yeh hay keh agar qurbani wajib nah
ho tou sirf qurbani karnay kay liye qarzah nah liya ja`ay.
Muharram-ul-Haraam mayn qurbani ka gosht kha
saktay hayn?
Suwal: Kiya qurbani ka gosht Eid-ul-Azha guzarnay kay ba’d
bhi khaya ja sakta hay? Neez ba’az log kehtay hayn keh
Muharram-ul-Haraam ka chaand nazar aaja`ay tou ghar mayn
gosht nahin pakana chahiye aur qurbani ka gosht bhi yakam
Muharram-ul-Haraam say pehlay pehlay khatam kar layna
chahiye. Aap is hawalay say hamari rehnumai farma di jiye.
Jawab: Qurbani ka gosht agar koi saal bhar tak khana chahay
tou kha sakta hay yeh ja`iz hay. Muharram-ul-Haraam mayn
bhi qurbani ka gosht aur is kay ‘ilawah zabah kar kay us ka
gosht bhi khaya ja sakta hay.
13
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Qurbani kay janwar kay gosht kay 3 hissay karna
Suwal: Qurbani kay janwar kay gosht kay 3 hissay kiye jatay
hayn, kiya shari’at mayn is ki koi daleel hay?
Jawab: Bahar-e-Shari’at kay pandarhwayn hissay mayn
qurbani kay masa`il likhay hu`ay hayn, is mayn qurbani kay
janwar kay gosht kay 3 hissay karnay ko mustahab likha hay
masalan bakra hay tou us kay 3 hissay kar liye ja`ayn, aik
hissah qurbani karnay wala apnay isti’mal mayn rakhay, aik
hissah rishtadaron mayn taqseem kar de aur aik hissah
ghareebon mayn bant de tou yeh mustahab hay. (Bahar-e-
Shari’at, jild 3, p. safhah 344, hissah 15 – Fatawa Hindiyyah, jild 5, safhah
300)
Agar pura bakra khud rakh liya ya pura bakra bant diya ya
pura bakra aik sath kisi ko utha kar de diya tou yeh sab surtayn
bhi ja`iz hayn.
Qurbani kis par Wajib hay?
Suwal: Ghar mayn do kamanay walay hayn jo taqreeban 20
hazaar tak kamatay hayn kiya un par qurbani Wajib hogi?
Jawab: 20, 30 hazaar kamanay kay mas`ala nahin hay is tarah
tou log aik lakh bhi kamatay hoon gey aur puri ki puri raqm
kharch ho jati hogi. Koi 10 hazaar mayn guzara kar layta hoga
aur kisi ka 10 laakh mayn bhi guzarah mushkil say hota hoga,
kisi kay pas aaj ka khana hoga tou kal ka nahin hoga, kal ka
14
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
hoga tou parson ka nahin hoga lihaza kitna kamata hay yeh
bunyad nahin hay balkeh bunyad yeh hay keh 10 Zul-Hijja-til-
Haraam ki subh-e-sadiq (say lay kar 12 Zul-Hijja-til-Haraam
kay ghuroob-e-aaftab tak) kay waqt mayn jo ghani ho ya’ni
zaruriyat kay ‘ilawah us kay pas nisab1 kay barabar raqm
waghayrah maujood ho aur qarz mayn ghira huwa bhi nah ho
tou qurbani wajib hogi.2
Qurbani kay janwar ki qeemat batana munasib hay ya
khamoshi ikhtiyar karna?
Suwal: Jab hum qurbani kay liye koi janwar maslan ga`ay ya
bakra khareed kar latay hayn tou aksar log baar baar yeh suwal
puchtay hayn keh kitnay ka la`ay ho? Aisi surat mayn qeemat
batana munasib hay ya khamoshi ikhtiyar karna kiun keh
1
Qurbani ka nisab yeh hay keh sarhay saath (71/2) tola sona ya sarhay bawan
(521/2) tola chandi ho ya sarhay bawan (521/2) tola kay barabar raqm ho ya
bechnay ka utna saman ho jo 521/2 tola chandi ki raqm ko puhanch ja`ay ya ghar
mayn zarurat kay ‘ilawah itna samaan rakha hay jo sarhay 52 tola chandi ki raqm
ko puhanch ja`ayn tou is surat mayn qurbani wajib ho ja`ay gi. (Fatawa Hindiyyah,
jild 5, safhah 292 – Bahar-e-Shari’at jild 3, safhah 333, hissah 15)
2
Yeh zaruri nahin keh dasween hi ko qurbani kar dalay, is kay liye gunja`ish hay
keh puray waqt mayn jab chahay karay lihaza agar ibtida-e-waqt mayn (10 Zul-
Hijja ki subh) is ka ahal nah tha wujub kay shara`it nahin pa`ay jatay thay aur
aakhir waqt mayn (ya’ni 12 Zul-Hijjah ko ghuroob-e-aaftab say pehlay) Ahl
hogaya ya’ni wujub kay shara`it pa`ay ga`ay tou us par wajib ho gai aur agar
ibtiad-e-waqt mayn wajib thi aur abhi (qurbani) ki nahin aur aakhir waqt mayn
sharait jatay rahay tou (qurbani) wajib nah rahi. (Bahar-e-Shari’at, jild 3, safhah 334,
hissah 15)
15
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
qeemat batanay mayn apni barai ka pehlu bhi nikalta hay keh
mayn 75 hazar (75000) ka laya ya mayn tou 2 laakh (200000)
ka laya waghayrah?
Jawab: Zahir hay keh agar koi janwar ki qeemat puchay ga aur
aap usay kahayn gey keh mayn nahin bata ta tou us ka dil totay
ga aur usay bura lagay ga is liye koi puchay tou qeemat bata di
jiye. Aap ko bhi tou janwar lay kar ghumnay ka shoq hay, jab
aap apna shoq pura kar rahay hayn, janwar ko laa kar apnay
darwazay kay aagay bandh rahay hayn, usay phoolon kay
gajray aur haar daal rahay hayn aur usay saja kar rakh rahay
hayn tou jab itni numa`ish aap khud karwa hi rahay hayn tou
phir log puchayn gey hi keh kitnay ka liya hay? Agar aap
janwar ki numa`ish nah karayn aur usay chupa kar rakhayn
tou itnay logon ko pata nahin chalay ga aur phir kam log
puchayn gey ya phir yeh puchayn gey keh aap ney qurbani kay
liye janwar liya hay ya nahin? Agar aap haan bolayn gey tou
puchayn gey: kitnay mayn aaya? Aur agar bolayn gey: abhi tak
nahin liya, tou puchayn gey: kitnay tak lene ka iradah hay?
Bahar hal ‘awam ney puchna hi hay. Ab yeh puchna ba’az
auqat fuzool hota hay aur ba’az auqat fuzool nahin bhi hota
jaysa keh koi is liye puch raha hay ta keh usay yeh pata chal
ja`ay keh aaj kal janwar ka kiya bhao chal raha hay aur is tarah
ka janwar kitnay ka milta hay? Kiun keh is ney bhi janwar lene
kay liye mandi jana hay tou yeh achi niyyat say puchna hay aur
16
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
agar waisay hi puchta hay jaysa keh log tajassus kay tor par
puchtay hayn tou yeh fuzool puchna huwa aur fuzool baton
say bachna acha hay laykin yeh puchna ab bhi gunah nahin
hay lihaza agar kisi ney aap say janwar ka bhao puch liya tou
aap is ka dil khush karnay ki niyyat say usay sahih sahih bata di
jiye us ka dil khush ho ja`ay ga, nahin bata`ayn gey tou us ka
dil totay ga albattah puchnay walon ko bhi chahiye keh woh
bila zarurat nah puchayn.
Kis janwar ki qurbani ba’is-e-fazeelat hay?
Suwal: Mayne do dunbay palay thay aur mayri niyyat yeh thi
keh mayn un ko baych kar bara janwar khareedon ga lekin ab
mayra dil yeh kar raha hay keh mayn un ko hi zabah kar doon
aap mayri rahnumai ki jiye keh in donon mayn say kon si
cheez mayray liye behtar hay? (Karachi kay aik islami bhai ka
suwal)
Jawab: Qurbani kay janwar ki niyyat kay (Kuch) masa`il (ya’ni
shar’i ahkaam) hayn, ghareeb kay liye alag mas`ala hay aur
maldar kay liye alag. Agar in janwaron ki qurbani ki niyyat
nahin ki thi tou unhayn bechnay mayn harj nahin, aap ki
marzi hay un ko bech kar bara janwar layn ya nah layn. Haan!
Is mayn behtar kiya hay tou is hawalay say ‘arz hay keh bandah
jo janwar khud palta hay us say unsiyat hoti hay balkeh ba’az
auqat janwar say aulad ki tarah piyar ho jata hay, usay zabah
karna nafs par giran guzarta hay aur dil par aik sadmay ki
17
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
kayfiyat hoti hay yun isi paltu janwar ko zabah karnay mayn
ziyadah fazeelat nazar aa rahi hay. Agar usay baych diya ja`ay
ga tou yeh kayfiyat nahin hogi keh nazron say oojhal ho gaya
ab katay ya kuch bhi itna mahsos nahin hoga. Neez us ko
baych kar dusra janwar liya ja`ay tou us say ziyadah unsiyat
aur piyar nahin hoga aur us ko katnay say nafs pa itna bojh bhi
nahin hoga lihaza jo janwar khud pala hay usi ko zabah karay.
Faut shudah walidayn kay naam ki qurbani karnay ka
hukum
Suwal: Agar Walidayn ka intiqal ho chuka ho aur unhon ney
zindagi may kabhi bhi qurbani nah ki ho tou kiya aulad un kay
naam ki qurbani kar sakti hay?
Jawab: Jee han! Isal-e-Sawab kay liye qurbani ho sakti hay is
mayn koi harj nahin neez walidayn ki taraf say qurbani karni
chahiye yeh achi baat hay. Walidayn zindagi mayn qurbani
kartay thay ya nahin ya 100, 100 bakray zindagi mayn zabah
kartay thay tab bhi Isal-e-Sawab kay liye qurbani karnay mayn
harj nahin. Neez zindah kay Isal-e-Sawab kay liye bhi qurbani
ho sakti hay.
Kiya Qurbani kay janwar ko nehlaya ja sakta hay?
Suwal: Kiya qurbani kay janwar ko nihlaya ja sakta hay?
Jawab: Jee Haan! Qurbani kay janwar ko nihlaya ja sakta hay
jabkeh zarurat ho.
18
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Kiya qurbani ki bhi qaza hoti hay?
Suwal: Aik saal ki qurbani reh ja`ay tou kiya yeh qurbani
dusray saal kar saktay hayn? Jaysay is marbatabah mayre paas
paise nahin hayn tou qurbani mayray liye mu’af hay ya karna
hogi?
Jawab: Qurbani kay din guzar ga`ay aur (Wajib honay ki surat
mayn) qurbani nahin ki nah janwar aur us ki qeemat sadaqah
ki yahan tak keh dusri baqarah ‘eid aa gai aur ab yeh chahata
hay keh guzishta saal ki qurbani ki qaza is saal kar lay tou yeh
nahin ho sakta balkeh ab bhi wahi hukum hay keh janwar ya us
ki qeemat sadaqah karay. (Fatawa Hindiyyah, jild 5, safhah 296 – 297)
Qurbani wajib ho magar raqm nah ho tou kiya karay?
Suwal: Agar Qurbani ki shara`it pai ja`ayn lekin paisay nah
hon ya qurbani wajib hi nah ho tou kiya phir bhi qurbani ka
hukum hoga? (Rukn-e-Shura ka suwal)
Jawab: Agar Qurbani wajib ho magar paise nah hon tou udhar
lay kar bhi qurbani kar sakta hay ya phir koi aisi cheez baych
kar raqm hasil kar lay jis say janwar khareed sakay. Yaad
rakhiye! Qurbani kay liye zaruri nahin keh dhai laakh wala
janwar hi laya ja`ay balkeh hissah bhi dala ja sakta hay keh
woh ziyadah mehnga nahin hota. Bahar haal qurbani wajib ho
tou karna zaruri hay agar jan boojh kar nah ki tou bandah
gunahgar hoga. Haan! Agar qurbani wajib hi nahin thi aur us
kay wujub ki shara`it bhi nahin pai gai theen is wajah say
19
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
qurbani nah ki tou yeh koi gunah ka kaam nahin hay kiun keh
qurbani wajib hi nahin thi.
Qurbani kay janwar kay galay mayn ghanti aur pa`on
mayn ghungru bandhnay ka hukum
Suwal: Qurbani kay janwar kay galay mayn ghanti aur pa`on
mayn ghungru bandhna kaysa hay?
Jawab: Qurbani ka janwar ho ya beghayr qurbani ka, us kay
galay mayn ghanti aur paon mayn ghungru bandhna agar
beghayr kisi zarurat kay ho tou makruh-e-tanzeehi ya’ni na-
pasandeedah hay.
Janwar kay galay mayn ghanti ya pa`on mayn ghungru
bandhnay say muta’lliq Dar-ul-Ifta Ahl-e-Sunnat ka bara
piyara aur tahqeeqi fatwa yeh hay keh ‘Janwaron ki gardan
mayn ghanti ya pa`on mayn ghungru bandhnay say agar koi
manfa’at ya’ni faidah hay tou Dar-ul-Islam mayn bila kirahat
ja`iz aur agar koi manfa’at nahin tou Makruh-e-Tanzeehi ya’ni
napasandeedah hay magar ja`iz ab bhi hay.’ Yad rahay!
Qurbaniyon ki ronaqain Dar-ul-Islam kay muta’alliq hay
jabkeh Dar-ul-Harb ki alag surtayn hayn. 5
3 4 ! Pakistan
Dar-ul-Islam hay aur is kay ‘ilawah bhi bay shumar mumalik
Dar-ul-Islam hayn agarcheh un mayn bhari ta’dad kufar ki
hoti hay magar woh Dar-ul-Islam ki ta’reef mayn aatay hayn.
Bahar haal hamaray yahan janwaron kay galay mayn jo ghanti
bandhi jati hay woh ja`iz hay aur manfa’at ki niyyat nah honay
20
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
ki surat mayn makruh-e-tanzeehi aur agar manfa’at ki niyyat
hay tou makruh-e-tanzeehi bhi nahin hay masalan is niyyat say
janwar kay galay mayn ghanti bandhi keh safar mayn ghanti ki
aawaz janwar ki chusti barha`ay gi aur woh jaldi bhagay ga tou
is fa`iday ko hasil karnay kay liye ghanti bandhna makruh
nahin hay. Isi tarah agar is liye janwaron kay galay mayn
ghanti bandhi keh bhayriya waghayrah janwar hamlah karnay
aa`ay ga woh ghanti ki aawaz say bhagay ga aur yun janwaron
ki hifazat hogi tou yeh bhi aik durust niyyat hay. Yun hi agar is
liye ghanti bandhi keh yeh neend door karti hay aur is say safar
mayn janwaron ki neend bhi door hogi aur jo is par suwar hay
us ki bhi neend door hogi tou is niyyat say bhi ghanti bandhi ja
sakti hay.
Janwaron kay galay mayn ghanti aur pa`on mayn
ghungru bandhnay kay fawa`id
Janwaron kay galay mayn ghanti ya pa`on mayn ghungru
bandh kar deegar fawa`id bhi hasil kiye ja saktay hayn masalan
janwar gum ho gaya ya rassi tor kar bhaaga tou pata chal ja`ay
ga keh janwar bhaga hay aur kahan puhancha hay? Ya phir
choron ka khauf hay keh janwar ko chor le ja`ay ga tou janwar
kay chalnay say ghanti ki aawaz aa`ay gi jis kay ba’is so`ay
hu`ay afrad jaag kar chor ko pakar layn gey aur apnay janwar
ko bacha sakayn gey tou un sab fawa`id ko panay kay liye
janwar kay galay mayn ghanti aur paon mayn ghungru
bandhna ja`iz hay.
21
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Kam ‘Umar farbah janwar ki qurbani ka hukum
Suwal: Agar bara janwar daydh saal ka ho magar door say
daykhnay mayn 2 saal ka lagay tou kiya is ki qurbani ho ja`ay
gi?
Jawab: Baray Janwar (Ga`ay, bhyns) ki ‘umar 2 saal hona
zaruri hay agar 2 saal mayn aik din bhi kam hoga tou qurbani
nahin hogi. Albattah dunbah dunbi jis ko angrayzi mayn sheep
boltay hayn yeh agar 6 mahinay ka bacha hay aur door say
daykhnay mayn saal bhar ka ma’loom hota hay tou us ki
qurbani ja`iz hay, magar bakri mayn aisa nahin hoga yeh
ri’ayat sirf sheep mayn hay aur yeh bhi sirf us waqt hay jab 6, 7
ya 8 mah ka bacha itna farbah aur jandar ho keh saal bhar ka
lagay warnah us ki bhi qurbani nahin hogi ya’ni ab chahay 6, 7
ya 8 mah ka ho magar kamzor ho aur bacha hi lagta ho us ki
qurbani nahin hogi albattah puray saal bhar ka honay kay ba’d
bhi bacha lagta ho tou koi harj nahin qurbani ho ja`ay gi
bashart yeh keh us mayn koi aur nuqs nah ho. (Derived from
Durr-e-Mukhtar, jild 9, safhah 533)
Jitnay afrad par qurbani wajib ho un sab ko qurbani
karna hogi
Suwal: Ghar mayn 6 afrad hayn jin par qurbani wajib hay agar
un sab ki taraf say 2 ya 3 qurbaniyan kar di ja`ayn tou kiya kafi
hon gi ya 6 qurbaniyan hi karna hon gi?
22
www.dawateislami.net
Qurbani kiun kartay hayn?
Jawab: 6 Qurbaniya karna hogi. Ba’az log puray ghar ki taraf
say sirf aik bakra qurban kar dete hayn is tarah kisi ki bhi
qurbani nahin hoti. Aik bakray mayn aik say ziyadah hissay
nahin ho saktay. Aisay moqe’ par bara janwar lay liya ja`ay tou
woh 7 afraad ki taraf say qurban kiya ja sakta hay.
23
www.dawateislami.net