0% found this document useful (1 vote)
14K views31 pages

Fmly Fun3

The document introduces Sajid, the main character, who is starting his first day at a new job at a bank. His father Abu gives him words of encouragement and advice before he leaves. At the bank, Sajid meets his manager Sarmat Shah and colleague Subhaani Sahab, who will help train him. Sarmat receives a phone call and a young woman enters their office, setting up Sajid's first day on the job.

Uploaded by

lunphudikamilap
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (1 vote)
14K views31 pages

Fmly Fun3

The document introduces Sajid, the main character, who is starting his first day at a new job at a bank. His father Abu gives him words of encouragement and advice before he leaves. At the bank, Sajid meets his manager Sarmat Shah and colleague Subhaani Sahab, who will help train him. Sarmat receives a phone call and a young woman enters their office, setting up Sajid's first day on the job.

Uploaded by

lunphudikamilap
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 31

Episode No 961

Zari: “Bye bye.” Us ne jaate


houy kaha.

Ammi: “Ye larki kabhi nahi


sudhre gi,,, hamesha aadha
naashta kar k jaati hai.”
Unhon ne dekhte houy kaha.

Ab Aage:-
Noor: “Ammi us k paas pese
hote hain wo college k
canteen se kuch na kuch le
kar kha leti hai.” Us ne kaha.

Ammi: “Haan barri achi


cheezein milti hain college k
canteen se.” Unhon ne
ghusse se kaha.

Ye keh kar Ammi ne table


par rakhe Zari k bache houy
naashte ko uthaya aur
kitchen counter pe rakhne k
liye murr gayein.

Ammi ko us taraf jaate dekh


kar main apni chair se utha
aur Noor k saath wali chair
pe beth gaya.

Main: “Noooooorrrrr.” Main


ne dheemi aawaz mein
kaha.
Noor: “Kia hai.?” Us ne bhi
dheemi aawaz mein poocha.

Main: “Ammi jab ghusse


mein hoti hain to kitni achi
lagti hain.” Main ne phir se
dheemi aawaz mein kaha.

Itne mein Ammi ne hamari


taraf apna rukh kiya aur
wapas dinning table k paas
aane lagi.
Jab Ammi dinning table k
paas aa rahi theen to unhon
ne mujhe Noor k saath kaan
mein khusar phusar karte
houy dekh liya tha.

Ammi: “Ye kia khusar phusar


ho rahi hai.?” Unhon ne
poocha.

Main: “Kuch nahi,,, bas main


Noor se keh raha tha k jab
aap ghusse mein hoti hain to
bohat piyaari lagti hain.”
Main ne kaha.

Jab main Ammi se ye baat


keh raha tha to kitchen mein
Abu dakhil ho rahe thy aur
unhon ne bhi meri baat ko
sunna.

Abu: “Tumhari Ammi jab


ghusse mein nahi hoti tab
bhi achi lagti hai.” Unhon ne
chair pe bethte houy kaha.
Abu ki baat sunn k Ammi ne
sharma k nazrein neeche
jhuka lein.

Abu: “Aur sharmaate houy to


aur bhi achi lagti hain.”
Unhon ne Ammi k haath pe
apna haath rakhte houy
kaha.

Ammi: “Sajid k Abu kuch to


khayaal kar lein,,, saamne
jawaan beta aur jawaan beti
bethi hai.” Unhon ne apna
haath peeche karte houy
kaha.

Abu: “Aray baba abhi to ye


dono bache hain.” Unhon ne
kaha.

Ammi: “Koi bache wache


nahi hain poore jawan ho
chuke hain.” Unhon ne kaha.
Ye keh kar Ammi ne mujhe
aur mere saath bethi Noor ko
dekha.

Main: “Ok every one, I am


going.” Main ne chair se
uthte houy kaha.

Noor: “Best of luck for the


first day of your new job.” Us
ne kaha.
Main: “Thank you for my
lovely sister.” Main ne kaha.

Ye keh kar main kitchen se


bahar jaane laga.

Abu: “Aik minute


barkhur’daar zara meri baat
sunnte jaao.” Unhon ne
kaha.
Abu ki baat sunn k main
jaate jaate ruka aur palatt k
un ki taraf apna rukh kar k
kbarra ho gaya,,, Abu chair
se uthe aur do qadam chal k
bilkul mere saamne aa k
kharre ho gaye.

Saamne aa k kharre hone k


baad Abhu ne apne daaye’n
haath ko utha k mere
baaye’n kandhe pe rakhte
houy mujhe naseehat ki,,,
unhon ne kaha,,,,
Abu: “Beta aaj tumhara amli
zindagi mein qadam rakhne
ka pehla din hai is liye aaj
main tumhain wo baatein
kehna chahta hoon jo mere
Baba yaani tumhare Dada
ne mujhe kahein theen.”
Unhon ne kaha.

Main: “Lekin Abu,,, amli


zindagi mein to main pehle hi
apne qadam rakh chuka
hoon,,, jab main shop par
jaaya karta tha.” Main ne
kaha.

Abu: “Wo tum mera business


sambhaalte thy,,, lekin aaj
tum apne pairon pe kharre
hone k liye ghar se apne
qadam bahar nikaal rahe
ho.” Unhon ne kaha.

Abu ki baat sunn k main ne


haan mein gardan hilaai aur
apni saari tawaj’jo un ki taraf
kar k kharra ho gaya,,, mujhe
apni taraf mutawajja dekh
kar Abu ne kehna shuru
kiya,,,

Abu: “Apni job imaandaari se


karna,,, koshish karna
tumhari zaat se aur tumhari
baat se kisi ko taqleef na
pohanche,,, koun k zaat se
insaan ki naslon ka patta
chalta hai aur baat se insaan
k kirdaar ki pehchaan hoti
hai,,, ab jaao A**** tumhain
zindagi k har medaan mein
surkhuru kare,,, A****N.”
Unhon ne kaha.

Main: “Shukria Abu Jaan,,,


main apni poori koshish
karuga k meri zaat aur baat
se kisi ko koi taqleef na ho.”
Main ne kaha.

Jab main aur Abu aapas


mein aamne saamne kharre
ho kar baatein kar rahe thy
to is doraan Noor kitchen se
nikal k apne kamre mein
chali gayi thi,,, koun k us ki
college ki ven bhi aane wali
thi.

Ammi: “A****N.” Unhon ne


kaha.

Main: “Shukria Ammi.” Main


ne kaha.
Ye keh kar main ne Ammi
aur Abu ko muskura k dekha
aur apne kamre mein ja k
Samreen ki di houi garri
(watch) pehni aur pajero ki
chaabi utha k ghar se bahar
aa gaya.

Bahar aane k baad main ne


pajero ko bahar nikaala, jab
main pajero bahar nikaal
raha tha to ussi waqt Noor k
collage ki ven aati houi
dikhaai di.
Main: “Nooooooooor rr rrr
rrrr, tumhare collage ki ven
aa gayi hai.” Main ne ghar k
andar ja k kaha.

Thorri der baad Noor ven


mein beth kar collage k liye
rawana ho gayi aur main
pajero mein beth k bank k
liye rawana ho gaya.
Taqreeban 35 minutes baad
main bank mein, bank k
manager k saamne betha us
se bank k rules and
regulations ko samjh raha
tha.

Bank manager ka naam


SARMAT SHAH tha jis ki
umar taqreeban 40 se 45 k
darmiyan thi.
Main: “Ok sir meri taraf se
aap ko koi shikayat ka
mouqa nahi milega aur main
apni poori koshish karuga k
apni job ko sahi se nibhah
saku.” Main ne kaha.

Sarmat: “Good aur please


mujhe Sir matt kahein,,, aap
mujhe Sarmat Sahab keh
sakte hain.” Us ne kaha.
Ye keh kar Sarmat ne apne
daaye’n taraf rakhe phone ko
uthaya aur us mein do teen
number press karne k baad
phone ko kaan se laga diya.

Sarmat: “Good morning,,,


SUBHAANI SAHAB zara
mere cabin mein aaeiye.” Us
ne kaha.

Ye keh kar Sarmat ne phone


rakh diya,,, thorri der baad
cabin k darwaze pe halki si
dastak houi aur aik 55 se 60
saal ki umar k uncle cabin
mein aate houy dikhaai diye.

Sarmat: “Ye Subhaani


Sahab hain aur Subhaani
Sahab ye Sajid Zubair hain.”
Us ne hamara aapas mein
ta’aruf karwaya.

Main: “As……….M.” Main ne


chair se kharre ho kar unhain
salam karte houy haath
milaaya.

Subhaani S: “Wa……….M,
bethiye aap kharre koun ho
gaye.” Unhon ne mujh se
musaafa karte houy kaha.

Ye keh kar Subhaani Sahab


aik chair pe beth gaye aur un
k bethne k baad main un k
saath wali chair pe beth
gaya.
Sarmat: “Ye Shahid k first
cousin hain aur un ki jaga pe
aaye hain.” Unhon ne kaha.

Subhaani S: “Ma***** A****,


beta us se pehle aap ne kisi
bank waghera mein job ki
hai.?” Unhon ne poocha.

Main: “Nahi,,, ye mera first


experience hai lekin main jab
15 ya 16 saal ka tha to apni
Headwear ki shop
sambhaalta tha.” Main ne
jawab diya.

Subhaani S: “Matlab aap ko


customers k saath dealing
karne ka acha khaasa
experience hai.” Unhon ne
kaha.

Main: “Ji bilkul.” Main ne


kaha.
Sarmat S: “Good,,, Subhaani
Sahab aap Sajid Sahab ko in
ka cabin dikha dein aur jo jo
zaroori hidahaat deni hain
wo de dein.” Unhon ne kaha.

Subhaani S: “Ji behtar.”


Unhon ne kaha aur chair se
uth gaye.

Sarmat: “Sajid Sahab aap ko


jo bhi problem ya koi bank k
mutal’liq information chahiye
ho to aap Subhaani Sahab
se contact kar lijiye ga.”
Unhon ne mujhe mukhatib
karte houy kaha.

Tune � nnnnnnnnnnnn
Tune � nnnnnnnnnnnn
Abhi main kuch kehne hi
wala tha k Sarmat Sahab k
daaye’n taraf rakha hua
phone cheekh utha.
Phone ki bell ki aawaz sunn
k unhon ne phone uthaya
aur ussay kaan se laga liya.

Sarmat: “Ok unhain andar


bheje.” Unhon ne kaha.

Ye keh kar Sarmat Sahab ne


phone ko wapas rakh diya,,,
itne mein cabin ka darwaza
khula aur aik 21-22 saal ki
khush shakal wali larki
darwaze pe dikhaai di.
To be continue……

You might also like