0% found this document useful (0 votes)
1K views30 pages

Urdu Mein Mangnewali Dua

This document contains prayers and verses from the Quran. It begins with the Fatiha, the opening chapter of the Quran, followed by prayers asking God for forgiveness, guidance on the righteous path, protection from evil and wrongdoers, and blessings for Muhammad and his descendants. It expresses gratitude to God and seeks refuge in God's mercy and light.

Uploaded by

zishaans74
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
1K views30 pages

Urdu Mein Mangnewali Dua

This document contains prayers and verses from the Quran. It begins with the Fatiha, the opening chapter of the Quran, followed by prayers asking God for forgiveness, guidance on the righteous path, protection from evil and wrongdoers, and blessings for Muhammad and his descendants. It expresses gratitude to God and seeks refuge in God's mercy and light.

Uploaded by

zishaans74
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 30

‫‪SURAH FATIHA‬‬

‫هلل ال َّر ْحم ِن ال َّر ِح ْي ِم‬


‫بِ ْس ِم ا ِ‬

‫ِل َّر ِب ال َّْعا لَّ ِم ْي َّن ‪،‬ا َّل َّر ْحمـ ِن ال َّر ِح ْي ِم ‪،‬‬
‫ا َّلْ َّح ْم ُد ِ ِ‬

‫اك ن َّ ْس َّت ِع ْي ُن‬ ‫الد ْي ِن ‪ ،‬إِيَّ َّ‬


‫اك نَّ ْع ُب ُد َّوإِيَّ َّ‬ ‫ك َّي ْو ِم ِ‬
‫َّما لِ ِ‬
‫َّ‬
‫الم ْس َّت ِق ْي َّم ‪ِ ،‬ص َّر َّاط ال َّ ِذ ْي َّن أنْ َّع ْم َّ‬
‫ت‬ ‫لص َّر َّاط ُ‬
‫اِ ْه ِدنَّــــا ا ِ‬
‫الضا لِ ْي َّن۔‬
‫عَّل َّْي ِه ْم ‪ ،‬غَّ ْي ِر الْ َّم ْغ ُض ْو ِب عَّل َّْي ِه ْم َّول َّا َّ‬

‫‪DAROOD SHAREEF‬‬

‫ا َّلل ُه َّم َّص ِل عَّلى ُم َّح َّم ٍد َّوعَّلى ِ‬


‫آل ُم َّح َّم ٍد‪،‬‬

‫اصل َّ ْي َّت عَّلى اِ بْ َّرا ِه ْي َّم َّوعَّلى ِ‬


‫آل اِ بْ َّرا ِه ْي َّم‪،‬‬ ‫ك ََّّم َّ‬

‫اِ نَّ َّ‬


‫ك َّح ِم ْي ٌد َّم ِج ْي ٌد‪.‬‬

‫ار ْك عَّلى ُم َّح َّم ٍد َّوعَّلى ِ‬


‫آل ُم َّح َّم ٍد‪،‬‬ ‫ا َّلل ُه َّم ب َّ ِ‬

‫ْت َّعلى اِ بْ َّرا ِه ْي َّم َّوعَّلى ِ‬


‫آل اِ بْ َّرا ِه ْي َّم‬ ‫ارك َّ‬
‫ك ََّّما ب َّ َّ‬

‫اِ نَّ َّ‬


‫ك َّح ِم ْي ٌد َّم ِج ْي ٌد‪.‬‬
 Tamaam hamd o sana us
rabbe zul-jalaal ke liye hai, jiski
rehmat se naa-umeedi nahin,
jiski nematon se daaman khaali
nahin,
Jiski magfirat se maayusi nahin,
aur jiski rehmaton ka faizaan
kabhi rukta nahin.

 Aye allah ! Tu paak hai, tera


shukr adaa karte hain, is iqraar
ke saath, ke tere siwaa koi haqiqi
maabood nahin,
Tu sab se bada hain, tera koi
shareek nahin, aur naa hi koi
hamsar hai, zameen o aasmaan
par jitni bhi makhlooqaat hai, …
2|Page
….tu sabka maalik hai, aur sabko
tu hi paalne wala hai.

 Aye allah ! Bilaa-shubha tu


hum se muhabbat karta hai, yahi
wajha hai ki tune humein imaan
ki daulat se nawaza, aur humein
apne mehboob s.a.s ka ummati
banaya.

 Ya allah ! Hum sab ke gunaah


maaf kar de.

 Aye tamaam jahanon ke


badshah ! Main tujh se teri
rehmat ka sawaal karta hoon.

3|Page
 Aye allah ! Tu is duniya main
jitne bhi majboor log hain jo tere
alawa apni majboori kisi ko bata
nahi sakte, tu un sab logo ki
mushkil hal farma de.

 Mere allah ! Mujhe kisi bhi


haalat main mushkilon
pareshaniyon main, khushiyon,
raahaton main kabhi bhi akela
mat chodna.

 Aye allah ! Hamesha apni


rehmat ke saaye main rakhna,
hamesha apni muhabbat ki nigah
se dekhna aur mere gunahon ko
maaf farma.
4|Page
 Mere allah ! Mujhe aisa bana
de ke main tujh ko pasand aa
jaoon.

 Aye allah ! Hum tere aajiz


miskeen bande hai, aye allah
hamare gunahon ko maaf farma,
hamari khataon se darguzar
farma, hamare aibon ki parda
poshi farma.

 Aye allah ! Bure din se


mehfooz farma, buri raat se
mehfooz farma, aye mere maalik
bure kaamon se mehfooz farma.

5|Page
 Ye allah ! Humen bure anjaam
se mehfooz farma.

 Aye allah ! Hidayat milne ke


baad gumrahi se mehfooz farma.

 Aye allah ! Sidha raasta milne


ke baad, bhatakne se mehfooz
farma.

 Aye allah apna qurb[nazdiki]


hasil ho jane ke baad, apni doori
se mehfooz farma.

 Aye allah nematein mil jaane


ke baad, nematon ke cheen jaane
se mehfooz farma.
6|Page
 Aye allah ! Ilm haasil ho jaane
ke baad, jahaalat wale kaamon se
mehfooz farma.

 Aye allah ! Dar dar ke dhakke


khane se mehfooz farma, nafs o
shaitan ke makr o fareb se
mehfooz farma,Aye allah ! Hum
gaflat main pade rahe,
gunahon main pade rahe,
Aye allah ! Jo asal karne ka kaam
tha, us kaam se door rahe, mere
maalik is kotaahi ko maaf farma.

 Aye allah ! Aap ke mehboob


ne farmaya: ramzaan ki har har
raat main aap laakho karodo ki
magfirat ke faisle farmate hain,…
7|Page
…Mere maalik ! Hamari bhi
magfirat ka faisla farma, aye
allah humen yaha se bakhshe
bakhshaaye waapas lauta.

 Aye allah ek rehmat ki nigaah


hum par bhi daal dijiye, aye allah
teri ek nigaah ki baat hai,
Meri zindagi ka sawaal hai,
Aye allah rehmat ka maamla
farma.

 Aye allah ! Hum gunehgaaro’n


par rahem farma.

 Aye allah ! Teri rehmat se


mujhe bhi maaf farma.
8|Page
 Aye allah ! Hum tere kamzor
bande hain, apni kamzori ka
eteraaf karte hain,
Aye allah ! Raat main tauba karte
hain, subha tauba tod beth te
hain,
Aye allah ! Kuch qadam aage
badhte hain, kayee qadam piche
chale jaate hain,
Aye allah ! Hum kamzoron par
rehmat ki nigaah farma.

 Aye allah ! Namaz ki huzoori


naseeb farma, aye allah ! Sajde ka
suroor naseeb farma,
Aye allah ! Raat ke aakhri paher
ki ibaat ki lazzat naseeb farma.
9|Page
 Aye allah ! Dar lagta hai, is
waqt to teri rehmat ke saaye
main hain, yaha se niklege to kya
haal hoga,
Mere maalik waha bhi rehmat ka
maamla farma.

 Aye allah ! Apni rehmat ka


saaya ataa farma.

 Aye allah ! Hamare azeez ,


aqaarib, rishtedaar,
asaatiza,padosi , walidain, jo bhi
is duniya se faut ho chuke hain,
Aye allah un sab ki magfirat
farma aur unko jannatul firdaus
naseeb farma.
10 | P a g e
 Aye allah ! Hum sab ko sache
dill se tauba karne ki taufeeq ata
farma.

 Aye rabbe rahim ! Hum


gunahon ki dal dal mein doob
gaye hain, hum badkariyon ki
mastiyon mein gire pade hain,
Hum mayusiyon ke andheron
mein bhatak rahe hain, rehmate
ilaahi se khud hi rooth gye hain,
Aye allah ! Hum nidamat ke
aasuon se naa aashna hain, hum
ek sachi tauba ke talabgaar hai,
Aye allah ! Apni rehmat se
humein wo sachi tauba ata farma
de.
11 | P a g e
 Aye parwardigaar ! Humein
or hamare walidain ko hamare
ahl o ayaal ko hamare aabaa w
ajdaad ko,
Aur hamari aane waali naslon ko
apni aafiyt ataa farma.

 Hum sab ko be-hisaab rizq


ataa farma.

 Hum sab ko haasidon ke


hasad se bacha.

 Ya allah ! Tu hum sab ko maaf


kar de.

 Ya allah ! Tu apne paas hum


sab ke liye jannat main ghar bana
de.
12 | P a g e
 Mere maula ! Hum paise ke
gulaam ban gaye hai,
Hum shohrat ke gulaam ban gaye
hain, maut ko bhool gaye, qabr
ko bhool gaye,
Tere saamne khade hone ko
bhool gaye,
Aye allah ! Jin chizon se tu naraz
hota hain, hum un se tauba karte
hain.

 Mere maula ! Dunya mein


humein sachchayi ke maqaam
mein dakhil kar,
Aur dunya se humein sachchayi
ke maqaam se nikaal.
13 | P a g e
 Neki ke jis kaam ko hum le kr
chale hain, tu use qabool kar le,
aur iske andr be-panah barkat
daal de,
Aur is khair mein din-b-din izafa
hota jaye.

 Ya rabbul aalameen ! Tu
humein jaha bhi le ja, khair ke
sath le jaa.

 Ya allah ! Chahe hum apne


ghar mein ho, ya chahe kahi bahr
ho, hum pr apni barkaton ka
nuzool farma.

 Ya allah ! Sab se bade


dushman se mehfooz rakhna.
14 | P a g e
 Ya rabbul aalameen ! Har
tarah ke hasidon se, mufsidon se,
dushmanon se humein mehfooz
rakhna.

 Ya allah ! Shaitaan ki uk'sahat


se bachana, is baat se bhi
bachana ke wo hamare paas aaye
or hamare andr was-wase daale.

 Ya rabbul aalameen ! Tu
humein bakhsh de, hum par
rahem farma.

 Ya allah ! Humein aur hamari


auladon ko namaz ka paband
bana.
15 | P a g e
 Ya allah ! Tu hamari duaon ko
sun le, aur hamari aulad ko
hidayat de de.

 Aye allah ! Hamare piche


unhein hamara sadqe jariya bana
de.

 Ya allah ! Inki naslon mein


imaan ko baqi rakh.

 Ya allah ! Humein bhi bakhsh


de, hamare walidain ko bhi
bakhsh de, hamari auladon ko
bakhsh de,
Hamare azez o aqaarib,
rishtedaaron ko bakhsh de, …
16 | P a g e
… aur qayamat ke din saare
mominon ko bakhsh de.

 Ya rabbul aalameen ! Tu
humein dunya mein bhi aur
aakhirat mein bhi saaliheen ka
saath ata farma,
Aur humein jannat ke wariso’n
mein shamil kar de, aur humein
qayamat ke din ruswa na karna.

 Ya allah ! Humein apni saari


nematon par shukr karne wala
bana, jo tu ne humein ataa ki aur
hamare walidain ko ata ki,
Aur humein apni rehmat ke sath
apne nek bandon mein shamil
kar le.
17 | P a g e
 Ya allah ! Hamari aulad ki
islaah kar de, unhein imaan
naseeb farma, un’hein taqwa ata
kr, unhein hayaa ata kar,
Tu unki hifazat farma,
Ya aalah ! Unke imaan ki hifazat
farma,
Aye allah ! Unhein tera itaa’at
guzaar bana, walidain ka
wafaadaar bana.

 Ya allah ! Tu humein dunya


mein bhalai ata farma, aakhirat
mein bhi bhalai ata farma, aur
humein aag ke azaab se bacha.

 Aye allah ! Humein apne paas


se rehmat ata farma.
18 | P a g e
 Hamare bacho ko hamari
ankhon ki thandak bana de.

 Ya allah ! Humein is haal


mein maut de ke hum imaan ki
halat mein ho, tujh se acha
gumaan rakhne wale ho, aakhri
waqt mein laa ilaaha illallah
padhne wale ho.

 Ya allah ! Hamare dilon ko


tedha na karna.

 Aye allah ! Humein imaan par


sabit qadmi ata farma.

19 | P a g e
 Aye allah ! Hamare gunahon
ko bakhsh dein aur aag ke azaab
se bachaa.

 Aye allah ! Hum bade


gunehgaar hain, haqiqat mein
gunehgaar hain, humein apni
khataon ka eteraaf hain,
Apni kotahiyon ka, apni bhul
chuk ka, apni na samjhi , kam
aqli, be-waqufiyon ka eteraaf
hain,
Ya allah ! Hum ne tere haq mein
koi bhi kotahi ki tu humein maaf
farma de.

20 | P a g e
 Aye hamare rab ! Hamare liye
hamare gunahon ko aur hamare
maamle mein hamari zyadatiyon
ko bakhsh de.

 Humein sabit qadam rakh aur


kafir qaum ke muqaablein
hamari madad farma.

 Ya rabbul aalameen ! Humein


bakhsh de aur hamare bhaiyon
ko jo hum se pehle imaan laaye,
Aur hamare dilon mein unke liye
koi kinaa na rakh jo imaan laaye.

 Aye hamare rab ! Be-shak tu


nihayt shafqat karne wala, rahem
karne wala hai, …
21 | P a g e
… Aye allah ! Hamare gunahon ko
bakhsh de aur hamari buraiyan
hum se door kar de.

 Ya allah ! Tu humein wo ata


karna jiska tu ne apne nabiyon
ke zariye wada kiya hai.

 Ya allah ! Qayamat ke din


humein jahannam ki aag se
bacha.
Ya rabbul aalameen ! Humein aur
hamari aulado’n ko bakh’sh de,
Aur hamesha hamesha ki jannat
mein dakhil kar de.

22 | P a g e
 Ya rabbul aalameen ! Hamare
gharon mein sukoon paida kar
de, khushiyan paida kar de,
Ya allah ! Dill tere hath mein hai,
unke dill badal de,
Ya rabbul aalameen ! Tu unhein
apne deen mein etemaad de, wo
is deen se bahr na jaaye.

 Ya allah ! Hum se wo chiz na


uthwa jiske uthane ki hum mein
taqat nahi, Koi aisa masla,
koi aisi beemari, koi aisi mushkil
hum par na daalna, jisko hum
utha na sakte ho.

23 | P a g e
 Ya rabbul aalameen ! Tu
humein bakhsh de, hum par
rahem farma.

 Ya rabbul aalameen ! Tu
jaanta hai hamare gamon ko ,
hamare dukhon ko, hamari
takleefon ko, hamari
pareshaniyon ko, hamare andar
ki haalaton ko,
Ya allah ! Tu sab ke dilon se
waqif hain,
Ya allah ! Hum apne gamon ki
shikayat sirf tujh se karte hai,
Aye allah ! Tu hamare gamon ko
door kar de.
Aye allah ! Hamari preshaniyan
door kar de. …
24 | P a g e
… Aye allah hamari bimariyan
door kar de.

 Aye allah ! Tu humein islaam


ki haalat mein maut dena, aur
humein saaliheen ke sath mila
dena.

 Aye allah ! Tu saari


bad’sha’hat ka maalik hai, tu jise
chahta hai badshahat ata karta
hai,
Tu jise chahta hai izzat deta hai,
tu jise chahta hai zaleel karta hai,
Ya rabbul aalameen ! Tu humein
dunya w aakhirat ki zillat w
ruswayi se bacha lena.
25 | P a g e
 Ya rabbul aalameen ! Tu
humein imaan wali zindagi aur
imaan par maut ataa farma.

 Ya allah ! Tu humein dunya w


aakhirat mein be-hisaab rizq ata
farma,
Aur dunya ke rizq ko apne raaste
mein sahih taur par kharch
karne ki taufeeq ata farma.

 Ya allah ! Tu humein deen ki


sahi samajh ata farma.

 Aye allah! Humein namazon


ki muhabbat de de aur hamare
liye namazein aasaan kar de.
26 | P a g e
 Ya rabbul aalameen ! Humein
hidayat de de, humein taqwa de
de, humein pakizgi ata farma.

 Ya allah ! Humein sirf teri


rehmaton se umeed hai, tu
humein hamare nafs ke hawale
na kar, ek lamhe ke liye bhi tu
humein hamare hawale na kar,
Aur hamare saare haalat ki islaah
kr de.

 Aye allah ! Humein ilme naafe


ataa farma, paakiza rizq ataa
farma.

27 | P a g e
 Aye allah ! Jo koi bhi maali
mushkil mein pareshan hai,
Ya allah ! Uski mushkil door kar
de.

 Ya allah ! Hamare gharon


mein wus’at paida kar de,
Hamare dilon mein wus’at paida
kar de,
Hamare rizq mein barkat paida
kar de.

 Ya rabbul aalameen ! Tu
humein budhape mein kisi ka
mohtaj na karna.

28 | P a g e
 Aye allah ! Hamari saari
mushkilaat aasaan farma.
Aye allah ! Mushkilaat ka hal to
sirf tere paas hai, hum sirf teri
tarf rujoo karte hain, aye allah !
Tu hamari saari mushkilein door
kar de.

 Aye allah ! Hamare gunahon


ko maaf kar de, chote bade,
pichle agle saare ke saare ,
Aye allah jo chup kar kiye hai, jo
sab ke saamne kiye hai, saare hi
gunaah maaf kar de.

 Aye allah ! Humein bure


akhlaq se bacha, bure aamaal se
bacha, buri khaahishaat se bacha.
29 | P a g e
 Aye allah ! Shirk se bacha, har
us shirk se jise hum jaante hai
aur jinhein hum nahin jaante hai.

 Aye allah ! Jo maanga wo bhi


ataa farma, jo maangna chahiye
tha wo bhi ataa farma.

DAROOD SHAREEF

ِ ‫ا َّلل ُه َّم َّص ِل عَّلى ُم َّح َّم ٍد َّوعَّلى‬


،‫آل ُم َّح َّم ٍد‬

ِ ‫اصل َّ ْي َّت عَّلى اِ بْ َّرا ِه ْي َّم َّوعَّلى‬


،‫آل اِ بْ َّرا ِه ْي َّم‬ َّ ‫ك ََّّم‬

َّ َّ‫اِ ن‬
.‫ك َّح ِم ْي ٌد َّم ِج ْي ٌد‬

ِ ‫ار ْك عَّلى ُم َّح َّم ٍد َّوعَّلى‬


،‫آل ُم َّح َّم ٍد‬ ِ َّ ‫ا َّلل ُه َّم ب‬

ِ ‫ْت َّعلى اِ بْ َّرا ِه ْي َّم َّوعَّلى‬


‫آل اِ بْ َّرا ِه ْي َّم‬ َّ ‫ارك‬
َّ َّ ‫ب‬ ‫ا‬ ‫َّم‬
َّ ‫ك‬

َّ َّ‫اِ ن‬
.‫ك َّح ِم ْي ٌد َّم ِج ْي ٌد‬
30 | P a g e

You might also like