Video Viral Strategyy
Video Viral Strategyy
Apne niche ke bade creator ki sabse most viral videos uthao video ka hook same rakhke kuchh apne
hisab se change karo aur upload kardo, ye trick 70% work karti hai . mai gaurantee deta hu maine
khud apni 3 videos isi strategy se viral ki hai aur mai hi nahi mai boht sare chhote creator 500 , 600
followers walo ko bhi dekhta hu ye trick sabhi par kaam karti hai iska success ratio 70% hai example
ke lie aap (nadeemhub) ka account check kar sakte ho sari situation us band eke khilaf hai fer bhi
cop videos work karti hai. To proved hai yrrr
Jab bhi ham kisi viral video ko copy karke apne instagram par upload karte hai na, to instagram ka jo
algorithm hai wo video ko analyze karta hai , aisi same video jis types ke logo ko pasand aa rahi hai to
algorithm tumhari video ko bhi wo unhi logo ke pas bhejta hai un logo se is topic ki video par
engagement achchi milti hai aur video viral chali jati hai , dusra reason ye bhi hai kyuki wo viral video
hai logo ko alread pasand aa rhi hai matlab uska hook achcha hai mainly to yahi 2 reason hai copy
videos viral jane ke
Is trick ka success ratio 70% hai Ho sakta hai kuchh cases mai ye kaam na kare
Jin logo ka bsic hi clear mhi hai matalb unse camera par confidently bolna hi nhi aata ya jinki voice ki
quality ya video ki quality kuchh jyada hi kharab hogi to unke liye to koi bhi trick kam nahi karegi
agar tum 30-40 video bana chuke hoge aur tumhare pas average voice quality , average video
quality hui to ye trick kaam karegi hi karegi
2,3 video karke dekhna fer batana , basic clear nahi hai to pehle basic clear karna
2. TRUST IN HOOKS
Tum kitne bhi achche hooks use karlo jab tak tum unme trust wala concept add nahi karoge na tab
tak tum starting mai grow nhi kar paoge kyuki starting mai tumhe koi nahi janta tumhari koi bhi face
vaue nahi hai bade creator toilet mai bethkar bhi video dal de to uspe views aa jaenge to log tumhari
video ko tab tak nahi dekhenge jab tak tum starting ke 3 second mai unhe ye vishwas na dila do ki
tum genuine aur trusted ho , jaise maine us video mai tumse starting mai hi keh dia tha ki meri video
viral gai hai in strategy ki vajah se jisse tumhe laga ki is bande ki video viral gai hai matlab ise kuchh
aisa pata hai jisse isne apni video ko viral kiya, isiliye tumne bhi video puri dekhi
Kuchh aisa karo apni video ki starting mai jisse log tumpar trust kare iske boht trike hai ek tarika
niche bata ra hu
Mai tumhe example ke sath samjhata hu maan lo aap bata rahe ho kisi aise app ke bare mai jisse
ham apni video mai free mai subtitles add kar sakte hai. ab agar tum muh se uske bare mai na bata
kar sidha result dikhao matlab subtitles add karke dikhao starting mai jisse jise bhi uski jarurat hogi
wo log easily hook ho jayenge aur video ko pura dekhenge kuki unhe apni video mai subtitles add
karne hai. fer baad mai uske bare mai bata dena, jab tumne starting mai hi tesult dikhaya usse
audience ko ye toh clear ho gaya ki banda genuine hai aur hame wo ye app de sakta hai ye sirf
example hai aap ise kai tarike se use kar sakte hai apni video mai aur agar practical samjhna hai to
boht jald tumhare liye surprise aa raha hai free mai To account ki notifications on kar lena jake kyuki
pehle 50 bando ko hi free milega
INSTA PAR MAINE SARE CONTENT KO 2 CATEGORY MAI DIVIDE KIA HAI
1 . INFOTAINMENT 2. ENTERTAINMENT
Agar aap infotainment category ke creator hai , jisme tech , tips , educationa boht sari niches aati hai
to usme to ye trick 100 % work karegi
Lekin agar aap entertainment category ke hai to aapko trust to chahiye hi chaiye sath sath apko
creativity bhi chahiye aur creativity kahi bahar se sikh kar nahi lai ja sakti ye andar se hi aati hai , but
copy viral video wala concept tumhare liye bhi helpful hai
3. PROFESSIONALITY
Agar iski bilkul kami hui tumhare andar To upar ki ye dono trick kaam nhi karengi
Ye aati hai Achche camera , achche mike , Achche studio , confidence , voice style
I know starting mai equipments afford karna kitna mushkil hota hai mai khud nahi kar pa raha thats
the reason why my growth is slow. kyuki mai professional nahi bana pa raha lekin mere pas iphone
to hai hi. atleast iphone ya android ka achche camera wala phone to chahiye hi chahiye kyuki
sabse jyada trust aata hai professinality
Par koi na ye nahi hai to ispar atke mat rehna ye sab baad mai aa jayega
Dekho tum 2 chijo par dhyan de sakte ho , Ek to apna confidence aur dusra bolne ka style
CONFIDENCE
Iske liye tum mirror ke samne jakar apni script ka kai baar rehersal kar sakte ho pure
confidence ke sath
VOICE STYLE
Iske liye bhi tum mirror ke pas jakar apni script ko alag alag tariko se bolna start karo kabhi starting ke
shavdo ko khich kar bolo kabhi last le shavdo ko khicho ye just example hai jaise chahe vaise kar lena
Tumhare sabke liye boht bada surprise launch ho raha hai sunday ko sabhi log jakar account ki
notifications on kar lena jisse update mil jaye kyuki wo first 50 bando ke liye hi free hone wala hai
Agar tumhe laga ki in strategy se kuchh help hui hai to mujhe mention karke ek story jarur lagana
please
Aur ye to abhi trailor hai boht sari strategy hai jinhe ham aage janenge
CREATOR CLUB