Episode 15 Dialogues
Episode 15 Dialogues
EPISODE 15 - JHANAK
15-1/ night ext/village/jhanak aniruddh rahul villagers
[ The villagers are gathered together – They are discussing about
Jhanak]
Villager 1: Urvashi ki maut ke liye Bharat aur uski parivaar hi zimmedar
hain.
villager 2: Naashukre hai vo sab! Aur sabse badha naashukra hai unka hone
wala damaad aniruddh! Kiss haq se vo yahaan tha, poori raat Jhanak ke
saath? Aur phir kyun nahin bachaya jhanak ko!
Villager: Ab Tejas ko pata chalega toh pura gaaon jala dega woh. Tab kya
hoga?
and the car enters a village and comes to a halt..as all see ..and jhanak aniruddh
and Rahul come out.build up...
Cut to:
SCENE 15-3
Mandir night ext/ tejas rukmani men
rukmini : kyun kya hua saab? main ab pasand nahin?! bade joron shoron se uthaa kar laaye the na
mujhe, mere ghar parivar meri duniya se door kar diya tha mujhe…aur jab mann bharr gaya toh
chhod diya…nahin!! ab tumhe mujhse shadi karni hogi.
[Everyone looks]
[Uncle enters and says]
bharat : kyaa?
rukmini vo : kuchh der inn sabko baaton mein uljhaaye rakhna hoga taaki jhanak ko bhaagne ka
mauka mil sake.
[Tejesh shouts]
1
15-1,5 final
TEJESH: tumse toh hum baad mein niptenge… [Tells everyone] – aur tum log khade kya ho…le kar
aao use! muhurat beet gaya toh tum sabki arthi uthwa denge hum jaao!
Another person says: chalo sab bhabhi kamre mein band hai!
tejesh : aur baaki sab ladkiyon ko bhi band kar do…siwaye iske…ise toh hum apne haathon se
maarenge.
rukmini : main shadi karna chahti hoon aur tum mujhe maarna chahte ho? kyun?aisa kya hai jhanak
mein jo mujhmein nahin hai? itne din maine tumhara saath diya…sab bhool gaye tum.
TEJESH: haan bhool gaye! ab nayi yaadein banani hai hume jhanak ke saath…hum banenge uske pati
aur tum banogi uski ghulaam…
RUKMINI: mandir mein khade ho kar bhagvaan ke saamne aisi neech baatein karne wale!! tujhe
kabhi maafi nahin milegi tejesh!! bhagvaan sabka hisaab karta hai, tera bhi hoga
[Tejesh shouts]
Cut
ALL SHOCKED..
man 1 : itni security hai,har jagah camera lage hai, bina kisi
ki nazar mein aaye bhaag kaise sakti hai?
2
15-1,5 final
SCENE 5
[Village]
RAHUL: ab jhanak ko sirf aap hi sabka sahara hai, main ghar le jaa sakta ise toh
zaroor le jaata lekin vo tejesh…vo sabse pehle wahin aayega jhanak ko
dhoondhne…pehle bhi jaan se maarne ki dhamki de chukka hai vo mujhe...
Villager 2- haan aur hum loag kya he kar paayengey..hum loagon ki uss tejesh k
aagey kya he aukaat..
Jhanak- matlab aap yahi kehna chaah rahe ho na ki main yahan se chali jaau?
Lekin main jaaungi kahan..saarey rishttey toh bus naam k hain..pehley meri maa
ne sabki ghulaami ki, ab aisa lagttaa hai kismat mujhsey tejesh ki ghulaami
karwana chahti hai..Nahi..main ye sab…kaka koi toh tareeka hoga ki main yahan
rukk jaaun aur kisi ko pata na chaley..
Villager 1- tu jaanti toh hai…wo kaisa hai…poorey gaon ko aag laga dega agar
tu usey nahi mili..
A group of women are standing, out of them, there is an old woman leela.
They are seen discussing something between themselves in hushed voices.
3
15-1,5 final
While the previous dialogues are going on. One of the older ladies comes
forward.
Leela : Arey yeh hai na Bengali babu…yeh tujhe apne saath doosre shahar le
jayega.
ANIRUDDH- excuse me? main? main kaise? Kal flight hai meri Kolkata
ki...main jaa raha hoon yahan se.
RAHUL- Nahi jhanak..kaki theek bol rahi hain…abhi k liye tu chali ja Aniruddh
sir k saath..jab yahan maamla shaant ho jaayega toh laut aanaa…Kyun sir…
ANIRUDDH- are par Kolkata..main ..kaise..its not possible.. rahul tum kya inn
logon ki baaton mein aa rahe ho…no no yeh nahi ho sakta....
JHANAK- haan aise thodi hota hai..apni ladayi khud ladna seekh lungi
main….Marney k darr se bhaagti thodi phirungi…aur tejesh waise bhi bada
powerful hai toh kashmir ho ye kolkatta wo dhoond hi lega..toh ek sheher se
doosrey sheher jaaney ka kya matalab hai…dono gharon mein jo tamasha hoga
wo alag..
LEELA- Acchaa..? Tamasha toh bitiya hum bhi bana sakttey they…aur ab
Banega bhi…Jab YE BENGALI BABAU EK BIN BIHAAYI LADKI K
SAATH YAHAN HAMAREY GAON MEIN RAAT BITA SAKTA HAI TOH
WAQT AANEY PER APNI ZIMMEDAARI NAHI UTHA SAKTTAA..?
Anirudh: WHAT..?
4
15-1,5 final
Jhanak- ye kya bol rahi hain aap…kya raat bitaayi…aur kya zimmedaari…meri
maa…
LEELA- haan toh urvashi k guzarney ka ghumm sabko hai yahan…hum sabsey
jitna ho saka tere liye kiya per chatt k neechey, bandd kamrey mein toh yahi they
na…toh ab uthaayein zimmedari teri, jo ek raat saath bita saktta hai, wo jaan ki
raksha kar, zimmedaari bhi utha sakta hai…
LEELA: Hum chahtein hain ki tum isse shaadi kar lo, aur apne saath Kolkata le
jao..(addressing others) kyun sahi hai na..urvashi hoti toh who bhi yahi kehti…
Jhanak- KYA..?
Villager- dekhiye babu ji..angreji mein baat karkey ye mamla halka nahi ho
jaayega..aapney hamarey gaon ki ladki k saath ek raat bitaayi..ye hamarey gaon
ki izzat ki baat hai…
Aniruddh- acchaa..toh kisi ki madad karna, burey samay per saath dena…iss
sabkey k badley mein hamesha k liye Ussey rista jodna padta hai kya…? Wow
aap loagon ki soch ki daad deni padegi..
LEELA: hone walein hain. Abhi tak hue toh nahin hain na!
5
15-1,5 final
ANIRUDH: listen…main ruka kyunki aap logo ne kaha…aur agar itni dikkat thi
toh kal hi mana kar dete…yeh tamasha aaj kyun?
Villager: Humein koi dikkat nahi thi beta…aur aaj isiliye kyunki haalat majboor
kar rahe hai…hum iske liye kuchh nahin kar sakte par tum kar sakte ho.
ANIRUDDH: aap sabka dimaag kharaab ho gaya hai! Achanak se ye kya baat
kar rahey hain aap loag…jhanak tum kuchh bolo na…aakhir chahte kya hai yeh
log mujhse?
crowd- haan haan shadi toh karni hogi! warna hum tumhe yahan se jaane nahin
denge
man- uski taraf kya dekh rahe ho? apne shahar jaana hai na, toh shadi karo aur
jhanak ko saath le kar jaao.
man 1- soch kya rahe ho? iski jaan ki koi keemat nahin hai tumhari nazron mein?
jhanak- aap yeh sab kya bole jaa rahe hai…agar main inkey saath kolkatta Jauan
bhi toh uskey liye SHAADI karney ki kya zaroorat hai…wo toh bina shaadi k bhi
jaa saktti hoon..
sarpanch : anirudh!! hum iss gaaon ke sarpanch hai aur humara hukm koi nahin
taalta
sardar: theek hai, mat karo…jhanak ki laash ko kandha toh de sakte ho na! kyunki
agar tumne iska haath nahin thaama, toh tejesh maar daalega ise! Agar tum issey
6
15-1,5 final
shaadi kartey ho, toh kanooni taur per koi isko haath nahi laga sakta..phir tejesh
kuch nahi kar paayega…aur beta…agar tumhare tay ho chuke rishtey mein
sachchayi hoti toh tum jhanak ke saath ek chhatt ke neeche poori raat akele mein
nahin bitaate…
ANIRUDDH: jaisa maine kaha, main sirf jhanak ko support kar raha tha aur aap
uss baat ka yeh matlab nikaal rahe hai..
LEELA: ek baar pehle saath diya tha, aaj phir de do…agar urvashi ke jaane ka
tumhe zara sa bhi dukh hai toh tum aaj jhanak ko chhod kar nahin jaaoge…iski
zindagi ka sawaal hai!! Yeh yahaan rahegi toh Tejesh ise le kar jayega hi jayega.
Aur wahan iske paas apni jaan lene ke siwa aur koi chaara nahin bachega…maut
zindagi se behtar lagne lagegi…Kya chahte ho tum? Ek bechari bachchi ki
zindagi khatam ho jaaye?
rahul : sarpanch jee aap do logon ki aise zor zabardasti shadi nahin karwa sakte
hain. yeh Dono kabhi khush nahin rehenge.
Sardar: Dekho anirudh beta, tum yahan se seedha jammu ke liye rawana ho jaao
aur wahan se kolkata…sochne ka nahin yeh karne ka waqt hai.
ANIRUDDH: kya kya bole jaa rahe hai aap? koi mazaak chal raha hai ki aapne
kah diya aur maine shaadi kar li
7
15-1,5 final
JHANAK: sirjee theek kah rahe hai…yeh mumkin nahin hai sarpanch jee. Mujhe
bhi nahi karni hai yeh shaadi.
OTHERS SAY: toh theek hai! jab tejesh ke aadmi aayenge tab hum kah denge
unse ki jhanak ko tum hi yahan le kar aaye the
ANIRUDDH: what??
SARDAR: tejesh apne dushmano ko zinda nahin chhodta! aur uski shadi roki hai
tumne…tum uske sabse bade dushman ho… Agar tum uske haath lag gaye
na…toh yahin goliyon se bhoon dega tumhe…tumhari kartoot k chalttey hum
apney gaon ko nahi jalney dengey…
anirudh : aisa kyun kah rahe hai aap…maine kya galat kiya hai.
Jhanak: sarpanch jee inka inn sab se koi lena dena nahin hai.
sardar: sach se saamna karwa raha hoon tum dono ka! aur galat toh jhanak ne bhi
nahin kiya…phir ise kyun saza mile? kyunki yeh gareeb hai? kyunki iska koi
parivar nahin? kya yahi wajah hai jo tum ise apnana nahin chahte?
ANIRUDDH: aisa kuchh nahin hai…aap samajh nahin rahe hai, main kisi aur se
pyaar karta hoon…jo aap chahte hai vo possible nahin hai…are main uss raat
ruka kyunki mujhe jhanak ke liye bura…
[Jhanak is staring]
[Others]
Sarpanch: bura toh hume bhi laga tha, aankh humari bhi chhalki thi lekin hum
mein se kisi ne toh taras khaa kar raat nahin bitaayi…
ANIRUDDH: agar itni hi problem thi toh uss din kuchh kyun nahin bola
aapne…kyun nahin toka sarpanch jee?
8
15-1,5 final
ANIRUDDH: ohh…toh matlab saari galti meri hai! yeh yeh rahul…yeh toh
jhanak ka best friend hai, ise kuchh nahin kahenge aap…yeh bhi toh shaadi kar
sakta hai na jhanak se!
Sarpanch: aur shadi kar ke Jhanak ko kahan le jayega? tum bahar ke ho…jitna
tum jhanak ke liye kar sakte ho aur koi nahin kar sakta.
ANIRUDDH: aur isiliye aap mujhe bali ka bakra bana rahe hai.
JHANAK: nahin sir jee…aapke saath koi zor zabardasti nahin hogi…please
sarpanch jee…main haath jodti hoon …mujhe yeh shaadi nahin karni, inhe jaane
dijiye please.
LEELA: bhavnaao mein mat baho Jhanak…hum tumhari bhalai ki soch rahe
hain…yahan sawaal tumhari zindagi ka hai…shadi ki taiyaariyan karo! samay
kam hai humare paas.
ANIRUDDH: No! no! this is wrong!! galat kar rahe hai aap log…
This can’t happen –
[Everyone’s REACTION]
[Jhanak is staring, we see all are saying in montage…and she looks a t aniruddh
being cornered..she too does not want to marry, but sees no alternative]she comes
to aniruddh..and says..(this should not be heard by villagers)
JHANAK: Sir jee, shaant ho jaiye please… yeh log padhe likhe nahin hai, dil se
sochte hai…emotional hai…agar bol rahe hai ki pakadwa denge, toh baat badlegi
nahi…sach mein pakadwa hi denge.…aap mujhe jammu le chaliye wahan se
main apna khud dekh lungi.
9
15-1,5 final
ANIRUDDH: jammu le jaane ke liye bhi shadi toh tumse hi karni padegi na
mujhe
JHANAK: Jhooth mooth ki iss shaadi ko na aap maante hai na main, na aap kisi
se kuchh kahenge na main…toh kya farak padta hai…bas jammu tak, phir aap
apne raaste jaa sakte hai….nahin toh tejesh mujhe utha kar le jaayega aur aapko…
ANIRUDDH: aaj ke baad kabhi kisi ki madad nahin karunga main, bharosa uthh
gaya hai mera! yeh theek nahin kiya tumhare gaaonwalon ne jhanak, main kabhi
inn logon ko maaf nahin karunga.
srishti : teri baat hui…oh haan tune bataya tha baat hui thi
VINU: main
bas soch raha tha ki uski padhayilikhayi aur baaki kharcho
n ke liye thode paise bhejdein
11
15-1,5 final
13