هللا ال َّرح ْٰم ِن ال َّر ِح ْي ِم
ِ س ِم
ْ ِب
Khuda e do Jahan
Khuda e do Jahan Tu hai
Makeene La Makaan Tu hai
Muhammad ki zabaan Tu hai
Muhammad ka bayaan Tu hai
Yahan Tu hai wahan Tu hai
Jidhar dekho Ayaan Tu hai
Tajjalli Teri har shai mein
Zameen Tu aasman Tu hai
Ujaale ho ke taareki
Niha Tu hai Ayaan Tu hai
Tu hi Khaliq Tu hi Raaziq
Wahab e bekaraan Tu hai
Har ek din ek naya jalwa
Ajab tarze bayaan Tu hai
Yahan faani adam sab kuch
Wajood e javedaan Tu hai
Ameeron aabidon laachar
Sabka paasbaan tu hai
Ataaon par ataa teri
Hamesha meherban Tu hai
Hai Khusro bhi rukhe Ka’aba
Dua e bekasaan Tu hai
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Sarkaar-e-Madina
Tadpa kare kab tak ye dil afgaare Madina
Bulwaiye bulwaiye Sarkaar-e-Madina
Kis shaan se baithein hain woh Sarkaar-e-Madina
Aa tujhko dikha laaun main darbaar-e-Madina
Rizwaan humein bhaati nahi Jannat ki fizaein
Aankhon mein hai ab tak dar-o-deewar e Madina
Muflis ko bhi miljaati hai deedar ki daulat
Zardaar bana dete hain Sarkaar-e-Madina
Bolun jo annal haqq kabhi Mansoor ki surat
Sardar pe khich waayi ye Sarkaar-e-Madina
Ummeed e dil teri bar aayegi abhi khair
Mukhtaare jahan hai mere Mukhtaar e Madina
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Ilahi phir
Ilahi phir Madine ka safar ho
Nabi ke ghar mein phir shaam o sehar ho
Main sadqe is zameen o aasman ke
Mubarak gar woh Tera reh guzar ho
Rahu hubbe Nabi mein mast o bekhud
Na baqi phir khayal e khayr o shar ho
Tasawwur dil mein aur aankhein ho roushan
Khudaya is tarah meri nazar ho
Dil e Mushtaq Yasrib ki taraf chal
Fidaaye Rouza e Khairul Bashar ho
Yahi hai ilteja Sarkar meri
Sarhane Aap ho waqt e safar ho
Madine ki zameen madfan ho mera
Dua mein ae Khuda meri asar ho
Nafees e benawa haazir hai Maula
Khabool e bargah is ki nazar ho
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Faslon Ko Takalluf
Faslon ko takalluf hai hum se agar Hum bhi
be-bas nahi be-sahara nahi,
Khud unhi ko pukarenge hum dur se Raaste
me agar paun thak jaayenge...
Jaise hi Sabz Gumbad nazar aayega Bandagi
Ka qareena badal jaayega,
Sar jhukane ki fursat milegi kise,
Khud hi aankhon se sajde tapak jaayenge...
Hum Madine me tanha nikal jaayenge
Aur galiyon me qasdan bhatak jaayenge,
Hum wahan jaake wapas nahi aayenge
Dhundte dhundte log thak jaayenge...
Naam unka jahan bhi liya jaayega Zikr unka
jahan bhi kiya jaayega,
Noor hi Noor sinon me bhar jaayega Saari
Mehfil me jalwe lapak jaayenge...
Aye Madine ke zaair khuda keliye Dastaan-e-
safar mujhko yoon mat suna,
Dil tadap jaayega baat badh jaayegi Mere
mohtat aansu chalak jaayenge...
Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar Kis
musafir ko hai kitna shauq-e-safar,
Hum ko IQBAL jab bhi ijaazat mili Hum bhi
Aaqa ke Darbaar tak jaayenge.
هللا ال َّرح ْٰم ِن ال َّر ِح ْي ِم
ِ س ِم
ْ ِب
Mohammed Mustafa Salle ala ki
Mohammed Mustafa Salle ala ki Aaj mehfil hai
Habibe kibriya Salle ala ki Aaj mehfil hai
Pado salle ala salle ala salle ala Har dam
Pado salle ala salle ala salle ala Har dam
Ke mehboobe khuda salle ala ki aaj mehfil hai
Wazu se aae baithe ba adaab Bheje durud unpar
Wazu se aaye baithe baadab bheje durud unpar
Jahan ke rehnua salle ala ki aaj mehfil hai
Farishte alame bala se sun sun Kar ye kehte hain
Farishte alame bala se sun sun Kar yeh kehte hai
Isi badrudoja salle ala ki aaj mehfil hai
Duwa-e-mangle jo mangni ho Hakh se ae akbar
Duwa-e-mangle jo mangni ho Hakh se ae akbar
Tere mushkil kusha salle ala ki aaj mehfil hai
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Balaghal ula bi kamalihi
Balaghal ula bi kamalihi Kashafadduja bi
jamalihi Hasunat Jami-o-Khisalihi
Sallu alaihi wa aalihi
Woh Rafi hai woh Khaleel hai Balaghal ula bi
kamalihi
Woh haseen Hai Woh Jameel hai Kashafadduja
bi jamalihi
Woh Khaleeq hai,
Woh Adeel hai Hasunat Jami-o-Khisalihi Kahan
Uski koi daleel hai
Sallu alaihi wa aalihi
Woh hai Mustafa, Woh hai Mujtaba
Jo Habeeb-e-Rab e Qadeer hai
Na zameen pe Uski nazeer hai Hai
woh Uske rukh ki tajalliyan
Jo mansha-e-mahe muneer hai
Woh hai Uski Zulf ki nikkhatein Ke Shameem e
gul bhi aseer hai
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Sare arsh paak Woh jab Gaya Toh falak ne
sajda Usey kiya
Koi kehta tha mere Mujtaba Koi kehta tha
mere Mustafa
Kahin har zaban pe durood tha Kahin har
zaban pe salaam tha
Dare khuld pe jo guzar hua Toh har ek taraf thi
yahi sada
Ye Sharaf ke ussey kahe Khuda Jo Teri raza woh
Meri Raza
Jinhe Fakhr Uske karam se hai Wohi khush
naseeb hai hum gada
Woh Shafi-e-Rauze shumaar hai Humein khauf
e Rauze Shumaar kya
Hain gunahgaar toh hum magar Humein phir
bhi Uska hai aasra
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Kamli Waley
Kamli Wale mera khayal rakho
Mera koi nahi Tumhare siwa
Kamli Wale mera khayal rakho
Aap ki zaat bakamaal O Jaleel
Hai shimaail haseen aur Jabeen
Mujh pe rehmath O Khush Khisaal rakho
Aap ki wajha do jahan khayim
Aap ka husn muth lakho dayim
Paas Ae Paikar e Jamaal rakho
Koi Tumsa kahin Janaab nahin
Koi saani nahin jawaab nahin
Laaj meri O Bemisaal rakho
Chaarsoo Aapka nazara hai
Zindagi Aap ka utaara hai
Apne khadim ko aap paal rakho
Sarfarazi ka kuch hisaab nahi
Aap jaisa koi Wahaab nahin
Apni chashme karam bahal rakho
Aapka hoon rahunga main hargiz
Aap Aejaz main hoon ek aajiz
Dar pe O Amina ke laal rakho
Aap ka dar rahe Khusro ki jabi
Aur baakhi koi khwahish hi nahin
Baat Ya Malik e Bilal rakho
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Humne Aankhon se dekha nahin hai
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar,
Unki Tasweer seene mein maujood hai,
Jisne laa kar Kalaame Ilaahi diya,
Wo Muhammad Madine mein Moujud hai,
Phool khilte hein pad kar ke Salle Ala,
Jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-sabaa,
Aisi Khushbu Chaman ke Ghulon mein kahaa.n,
Jo Nabi ke Pasine mein Moujud hai,
Chhodna Tera Taybah gawaara nahi.n,
Saari Duniya mein Aisa Nazaara nahin,
Aisa Manzar Zamaane ne dekha nahin,
Jaisa Manzar Madine mein Moujud hai,
Hamne maana ke Jannat bahot hai hasee.n,
Chhod kar Ham Madina na jaye.n kahi.n,
Yun to Jannat mein sab hai Madina nahi.n,
Aur Jannat Madine me.n Moujud hai,
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Ghum Sabhi Rahat O Takeen
Ghum sabhi rahat o taskeen mein dhal jaate hai
Jab karam hota hai Halaat badal jaate hain
Aa pade hain tere khadmoin hum bhi yeh sunkar
Ke jo tere khadmoin mein girte hain sambhal jaate hain
Koi dekhe to sahi unki duhai de kar
Isme Ahmed se toh pathar bhi pigal jaate hain
Rakh hi lete hain bharam unke karam ke sadqe
Jab kisi baat pe deewane machal jaate hain
Aap ko Kaaba E Maqsood hi manu Khalid
Kyunke dar par hi sabhi armaan nikaljate hai
Kaif-e-Afza hai wahi qatre jaha mein Khalid
Sagar e naath se qatre jo uchal jaate hain
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
Baghdad mujhe pohochaade Khuda
Baghdad mujhe pohochaade Khuda
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Yeh sadqa karu tan mann apna
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Farzande Ali ho Noor e Nabi
Mehboob e Khuda hain zaat teri
Ek baar dikha Rauza Apna
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Laachar, Ghareeb aur Muflis hoon
Furqat mein hamesha rota hoon
Bulwalo mujhe Mahboob e Khuda
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Baghdad yahan se aaungi
Rauza main Tera jab dekhungi
Chaukhat par jhuka kar dil apna
Chaadar mai charaahu phoolo ki
Doori se Teri Mahboob e Khuda
Girbal hua seena mera
Le mujhko bula mere Maula
Chaadar mai charaahu phoolo ki
الر ِح ْي ِم
َّ الرحْمٰ ِن ِ ب ِ ْس ِم
َّ هللا
SEHR KA WAQT
Sahar ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thin
Hawayen khair maqdam ke tarane gungunati thi
Abhi jibril (as) bhi utre na then k’abe ke member se
Ke itne me sada aayi hai Abdullah ke ghar se
Mubarak ho shahe har dusra tashreef le aye
Mubarak ho Mohammad Mustafa (saw) tashreef le aaye
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi
Muhammad un Sayyidul Kawnaini Wa-Thakalain
Wal-Faree qaini Min Urbin Wa Min-Ajami
Na koi aap jaisa hai
Na koi aap jaisa tha
Koi Yusuf (as) se poochhe
Mustafa (saw) ka husn kaisa tha
Zameen-o-aasman me
Koi bhi misal na mili
Nabi-u-nal amirun nabi fala ahadun
Abbara fi Khauli-la min huwale naa-ami
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi
Durud un par salam un par
Yehi kehana khuda ka hai
Khuda ke baad jo hai
Martaba salle ‘ala (saw) ka hai
Wahi sardar-e-‘alam hain
Wahi gham khawar ummat hain
Wahi to hashr ke maidan me
Sab ki shifa’at hain
Shifa’at ke liye sab ki
Nazar un par lagi hogi
Huwal habiul lazi turja shafatauhu
Li kulli hau liminal am khali muqtahimin
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi
Salam us par ke jisne
Bekason ki dastagiri ki
Salam us par ke jisne
Badshahi me faqeeri ki
Salam us par ke jiske
Ghar na chandi thi na sona tha
Salam us par ke toota boriya
Jiska bichhona tha
Salam ae aamna ke laal
Ae mahboob subhani
Salam ae fakhr-e-maujoodat
Fakhr-e-nuye insani
Teri soorat teri seerat
Tara naqsha tera jalwa
Tawassum guftugu banda
Nawazi khalqat-e-shani
Tera dar ho mera sar ho
Mera dil ho tera ghar ho
Ya Rabbi bil Mustafa bal ligh maqasidana
Waqfirlana mamaza ya vasi-al-karami
Maula ya Salli Wasalim da-Iman Abadan
‘Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kulli hi mi