0% found this document useful (0 votes)
243 views4 pages

Drug Abuse Skit

Uploaded by

gsaisreekar2011
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
243 views4 pages

Drug Abuse Skit

Uploaded by

gsaisreekar2011
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 4

DRUG ABUSE SKIT

CHARACTERS-RAVI(THE DRUGGIE)
MRINALINI(THE MOTHER)
VIKRAM(THE FATHER)

SCENE-1
SETTING-RAVI’S HOME
Narrator-Ye Hai Ravi,Apne Kahaani Ka Hero,Kehne Ke Liye Toh Isne Kuch Khaas Kiya
Nahi Jaise Humari Filmon Ke Hero Karte Hai Jaise Ki 100 Aadmiyon Ko Ek Kulhadi Se
Maar Kar Khudko ‘ALPHA’ Ghoshit Karna Par Iski Apni Kahaani Hai Jo Ye Batana
Chahta Hai.
Kehne Ke Liye Toh Ye Apna Hero Hai Par Maano Iski Kahaani Hamare Jaise Hi Hai.
Aam Normal Ya Kaho Toh Ordinary.
Ravi Ne Just Abhi Apne Periodic Exams Likhe Hain Aur Iske Chehre Se Lagta Toh Nahi
Hai Ke Bhai Ne Top Kiya Hai Par Jitna Mai Isko Jaanta Hoon Fail Toh Nahi Hua Hoga.
Agar Mai Hota Toh Apne Gharvalon Ko Sacchi Sacchi Bata Deta Jitne Bhi Marks Aaye
Hain Aur Do Dande Barsane Ke Baad Shayad Voh Mujhe Motivate Karte Agli Baar
Acche Marks Laane Par Apne Hero Ke Parivaar Ke Saath All Is Not Well..
(Ravi Enters The Home)
Mrinalini-Mai Tang Aagayi Hoon Tumhare Saath.
Vikram-Kabhi Toh Kuch Accha Bol Diya Karo Hamesha Bura Bhala Bolti Rehti Ho,Kuch
Accha Bolne Se Tumhari Zindagi Nahi Tabah Hojayegi.
Mrinalini-Zindagi Toh Maine Apni Aur Apni Bacche Ke Ki Hai Tumhare Saath Shaadi
Karke.
Vikram-Kiya Kya Hai Maine Aise Jo Mujhpe Itna Chilla Rahi Ho?
Mrinalini-KIYA KYA HAI TUMNE?(FURIOUSLY)
Ye Bolo Ki Kya Kiya Nahi Hai Tumne.
Vikram-Hamesha Complain Karti Rehti Ho Kuch Aur Aata Bhi Hai Tumhein?
Mrinalini-Atleast Mai Ek Workaholic Toh Nahi Hoon Jiske Paas Apne Patni Aur Apne
Bacche Ko Time Hi Nahi Hai Dene Ke Liye.
Vikram-Ussi Workaholic Ki Vajah Se Tumhare Sirr(Head) Ke Upar Ek Chatt Hai Varna
Ghumte Phiro Tum Aur Tumhara Raja Beta Sadkon Pe(Over The Roads) Mai Thak
Gaya Hoon Tumhari Inn Betuki Baaton Se.
Mrinalini-Haan Haan 24(Choubis,24 In Hindi Have To Pronounce It On The Stage)
Ghante Kaam Par Rehne Vala Aadmi Kaise Jaane Ghar Aur Bacchon Ko Sambhalne
Vaale Ke Baatein.
(Ravi Sighs And Nods In His Head In Disappointment And Places His Report Card Over
The Desk Bymistakenly,Coincidentally Vikram Notices The Placed Card)
(Vikram Moves Towards It And Picks It Up)
(Goes Through The Report Card)
Vikram-Ye Dekho Ye Hai Tumhara Bacchon Ko Sambhalna.50% Marks Bhi Nahi Bane
Pure Marks Milakar. Ye Hai Tumhari Parvarish. Baatein Karne Se Pehle Soch Liya Toh
Karo.
Vikram-(SHOUTS) RAVI! ISSI VAQT IDHAR AAO.
(Mrinalini Is Silent As She Has No Arguments To Counter Vikram’s Argument)
(She Steals Ravi’s Report Card From Vikram’s Hands And Has Her Glance Towards It.)
Mrinalini-Ravi.Ye Kya Hai?
Ravi-Marks Hai Mere.
Mrinalini-Itne Kam Kyun Hai?
Ravi- Main Koshish Kar Raha Hoon Maa Par School Mein Cheezen Mujhe Samajh Nahi
Aarahi Shayad Mujhe Ek…
Vikram-KYA KOSHISH KAR RAHE HO?(FURIOUSLY) Agar Koshish Kar Rahe Hote
Toh Tumhare Iss Report Card Pe Dikh Jaata. Yahan Par Toh Sirf Tumhari
Nakamiyabi(Failure)Dikh Rahi Hai.
Mrinalini-Usse Apni Baat Khatam Karne Doge Ye Khud Hi Pagalon Ki Tarah Chillate
Rahoge?
Ravi- Shayad Mujhe Ye Saal Apna 12th Drop Karlena Chahiye.Mujhe Kuch Samajh
Nahi Aata,Mai Abhi Shayad Ek Hopeless Condition Mein Hoon,Mujhe Kisi Cheez Mein
Interest Nahi Aata,Shayad Mai Ek Drop Year Lekar Khud Pe Kaam Karna Chahunga.
Vikram-Ye Pagal HoGaya Kya? Tumhein Pata Bhi Hai? Kitna Laakhon Ka Kharcha
Karvaya Hai Maine Tumhari Iss Saal Ki Education Ke Liye. Ye Sab Nautanki Mat Karo.
Ravi-Papa Please Meri Baat Ko Samajhne Ki Koshish Kijiye.
Vikram-Mujhe Nahi Sunni Tumhari Koi Baat. Tum Jaise Kal Tak College Ja Rahe The
Kal Bhi Vaise Hi Jaoge Agar Tumhein Kuch Guidance Chahiye Toh Kuch Accha Tuition
Vuition Lagva Denge Tumhara Agar Phirse Iss Aisi Bachkani Baatein Ki Toh Mere Ghar
Se Nikal Jao Tum.
Ravi-Maa Aap Toh Meri Baat Sunlo(He’s At The Verge To Breakdown)
Mrinalini-Beta Tumhare Papa Sahi Toh Keh Rahe Hain Abhi Aise Mid Of The Year Drop
Loge Toh Kaise Chalega?
Vikram-Are Zara Sa College Ka Pressure Handle Nahi Karpaoge Toh Future Mein Life
Itne Sare Pressures Phenkegi Tab Kya Karoge Bhagte Phiroge? Log Kahenge Kya
Failure Ladka Hai.
Ravi-Aapko Kya Lagta Hai Papa Mai Ek Failure Hoon?
Vikram-Jaise Tum Kaam Kar Rahe Ho Dekh Kar Toh Vahi Lagta Hai.
(Ravi Decides He Has Had Enough Takes Up His Phone Which Is On The Table And
Heads For The Exit)
Mrinalini-RAVI! RAVI! RUKH JAO !
SCENE-2
SETTING:-JOY’S HOME.
Joy- Ji Aunty. Aap Tension Mat Lijiye Voh Call Kiya Mujhe Mere Ghar Hi Aaraha Hai Mai
Sambhal Lunga Usko. Ji Ji. (Declines The Call)
(Opens The Door)
(Ravi Enters With The Mood Off Vala Face With A Glitter Of Tear In His Face)
Joy-Aur Kya Hua?
Ravi-Meri Baat Nahi Samjhenge Yaar Bola Tha Na Tujhe. Mujhe Kuch Samajh Nahi
Aaraha Kaise Batau Unn Dono Ki Inn 2-3 Saalon Mein Jo Bhi Hua Hai Merese Nahi
Horaha. I’ve Lost The Interest And I Literally Can’t Even Get From My Bed Sahi Se
Padhne Ki Toh Baat Bohot Dur Vaali Hai.
(Joy Sarcastically Says)
(They Talk While Moving To Joy’s Brother’s Room)
Joy-Ye Heroine Khaale Mere Hero Dusri Duniya Mein Pahunch Jayega Vahan Pe
Dhund Lena Apne Problems Ke Solutions.
(Ravi Stares At Joy)
Joy-Kya Dekhra! Mazaak Karra Tha Mai.
Ravi-Ye Tere Paas Kahan Se Aaya?
Joy-Are Voh Bhaiya Ko Isko Laboratory Bhejna Tha Kal Subah Aake Bhejenge Ye
Yahan Rakhke Vizag Nikal Gaye Kuch Kaam Se Officer Hai Na Allowed Hai Possession
Iss Sab Ka.
Ravi-Iss Se Sacchi Mein Reality Escape Karsakte Hai Kya?
Joy-Kyun Try Karega?
Ravi-Shayad.
Joy-Gadha Hai Kya? Kya Baatein Karra? Chal Mai Biryani Order Karta Hoon Sukoon
Se Khaakar Tere Parents Se Baat Karne Chalenge Kal Subah.
(Both Of Them Eat Food And Sleep)
SCENE-3
SETTING:-JOY’S HOME.
Narrator- Agle Din Joy Babu Uthte Hai Aur Apne Aas Paas Dekhte Hain Na Une Joy
Dikhta Hai Na Unke Bhaiya Ki Possessed Heroin. Ravi Ke Phone Pe Call Karne Ke
Baad Phone Uske Table Par Bajta Hua Dikhta Hai. Aur Tensed Joy Jaise Hi Apne Main
Door Par Pahunchta Hai Usse Apna Dost Leta Hua Milta Hai Aur Uske Naak Par Pura
Powder Laga Hua. Jaise Hi Voh Apne Dost Ka Haath Thaamtha Hai Usse Pata Chal
Jaata Hai Ki Uska Dost Abhi Iss Duniya Mein Nahi Hai.
Toh Kaisi Lagi Kahani? Ending Sahi Nahi Hai Na. Par Ye Apni Akele Ravi Ki Kahani
Thodi Hai Ending Change Karne. Aise 18 Lakh Ravi Hai Jo Drugs Mein Involved
Hojaate,Kuch Ki Ye Adaat Ban Jaati Aur Kuch Seedha Apni Jaan Gava(Lose Their
Lives) Dete.
According To A Research Conducted By Megan Hanley.
90% Of Addictions Have Their Roots In The Teenage Years.
And The Data By NISD Suggests That:-
Nearly 18 Lakh Children And Adolescents Need Help For Inhalant Drug Use.
Inn Sab Raviyon(I Have Cringed Very Hard Writing This Line) Ke Apne Apne Kaaran
Hai Drugs Shuru Karne Ke Par The Fact Being That Many Of Them Don’t Get The
Support They Need From Us Isiliye Voh Iss Support Ko Drugs Jaise Alternatives Mein
Dhoondte.
Toh Everyone. Please Be Open. Ask People About Their Wellbeing If You Find Them
Looking Not Well. It May Be Very Possible That You May Provide The Support A Ravi
Needs.

You might also like