Team Mahesh Mankar
Lalkitab
By Team Mahesh Mankar
Lalkitab Advance
Advance lalkitab
Team Mahesh Mankar
Lalkitab
Houses/Khana
Advance lalkitab
Team Mahesh Mankar
Kurbani Ke Bakre
Planet Bali ke Bakre
Shani Shukra
Budh Shukra
Mangal Ketu
Shukra Chandra
Guru Ketu
Surya Ketu
Chandra Guru, Mangal, Surya
Rahu-Ketu Apni Musibat Swayam
Bhogthe hai
Lal Kitab mein ek bahut hi mahatvapurn aur khaas
drishtikon hai, grahon ke swabhav ya chaal ko samajhne ka.
Kai baar hum dekhte hain ki kundali mein grah achhi sthiti
mein hain, parantu woh accha prabhav nahi de rahe. Aisa
kyon hota hai? Isko samajhne ke liye humein “grahon ki
qurbani ke bakre” ka usool achhe se samajhna hoga.
Advance lalkitab
Team Mahesh Mankar
Qurbani ka arth hota hai balidan, yani grahon ki
qurbaniyan. Balidan ka matlab hai ki ek grah apne sthan
par kisi doosre grah ke haalaat kharab kar deta hai, ya woh
apna phal kharab hone ki apeksha kisi doosre grah ka phal
kharab kar deta hai. Aksar qurbani ke bakre grahon ke
mitra grah hi hote hain, isko vistaar se is tarah samjha ja
sakta hai:
Shani grah- Rahu aur Ketu ko Shani ka agent kaha jaata
hai. Kundali mein jaisa Shani hoga, waisa hi Rahu-Ketu
kaam karte hain. Rahu aur Ketu ke milne par masnu’i
Shukra banta hai.
Jab bhi Shani par koi kasht aata hai, udaharan ke taur par
maan lijiye kisi ki kundali mein Surya aur Shani ka takraav
ho jaaye, to aisi sthiti mein Surya aur Shani dono ka aahat
hona banta hai. Lekin aisi sthiti mein Shani Rahu aur Ketu
ko aage kar deta hai. Rahu aur Ketu mil kar apni musibat
Shukra par daal dete hain.
Aise mein Surya ko bhi koi nuksaan nahi pahunchta aur
Shani ko bhi koi nuksaan nahi hota, kyunki yeh to aapas
Advance lalkitab
Team Mahesh Mankar
mein baap aur beta hain. Lekin inke jhagde mein Shukra,
yani patni, qurbani ka bakra ban jaati hai.
Budh grah- Budh ko bepende ka lota bhi kaha jaata hai,
kyunki Budh grah bahut chaalak, paare ki tarah vichar
badalne wala aur fisalne wala hai. Budh aur Shukra aapas
mein dost maane jaate hain, lekin jab bhi Budh par koi
musibat aati hai to woh apni musibat Shukra par daal deta
hai aur khud bach jaata hai, aur apni dosti achhe se nahi
nibhata hai.
Mangal grah- Yadi kundali mein Mangal ashubh hai to uska
dushprabhav Ketu par padta hai, yani Mangal ne apna
qurbani ka bakra Ketu ko bana rakha hai.
Yadi hum masnu’i grahon ko dhyaan mein rakhein to
Mangalbad, Surya aur Shani ke milne par banta hai.
Mangalbad apna bura prabhav putra, yani Ketu, par daal
deta hai. Surya aur Shani mein se Mangalbad ka bura
prabhav Shani par zyada padega, kyunki woh Shani ka
putra hai.
Advance lalkitab
Team Mahesh Mankar
Shukra grah- Shukra ne qurbani dene ke liye apni jagah
Chandrama ko chuna hua hai. Shukra, aurat shaitaan
swabhav, khud apni bala ya musibat Chandrama, yani
kundali wale ki mata, par daal deta hai.
Chandra aur Shukra ko muqablay ke grah maane jaate
hain.Vyakti ki kundali mein Shukra ya Chandra ka mel ho
raha ho to kundali wale ki mata ki nazar par iska bura
prabhav padta hai.
Brihaspati grah- Ketu ko Brihaspati ka chela kaha gaya hai,
to Brihaspati ki jagah par qurbani ka bakra bhi Ketu ko hi
banna padta hai. Jab Brihaspati par bura prabhav padega to
woh apni musibat Ketu par daal dega.
Udaharan ke taur par, yadi Brihaspati ghar number 5 mein
ho aur Ketu kisi aur ghar mein ho, aur usi samay
Brihaspati ki ashubh dasha aajaaye to Ketu ke ghar number
6 ka phal ashubh ho jayega. Is samay Brihaspati aulad par
Advance lalkitab
Team Mahesh Mankar
bura asar nahi daalega jo ki ghar number 5 ki cheez hai.
Ashubh Ketu ke samay mein mama ko takleef aa sakti hai
ya vyakti Ketu sambandhit bimariyon jaise ki reedh ki
haddi ya jodon ka dard ya peshaab sambandhit takleefon se
pareshan ho sakta hai.
Surya- Surya bhi apni musibat ke waqt Ketu par hi bura
asar daal deta hai.
Chandra- Chandra ke mitra grah Brihaspati, Mangal aur
Surya hain. Chandra apna thoda-thoda asar Brihaspati,
Mangal aur Surya par daal kar svayam buri sthiti se bach
jaata hai.
Rahu-Ketu- Rahu aur Ketu aise grah hain jo apni musibat
apne aap hi sahte hain, yani woh apni musibat kisi aur ke
gale mein nahi daalte. Jab Rahu aur Ketu musibat mein
hote hain to in grahon ki karak cheezen jaise ki vyapar aur
rishtedaaron par iska asar pad sakta hai. Rahu kharab hone
se saale ya behnoi par bura asar ho sakta hai. Isi tarah se
Ketu kharab hone ke samay bete par bura asar pad sakta
Advance lalkitab
Team Mahesh Mankar
hai ya hamare paon mein koi kharabi aa sakti hai.
Brihaspati aur Mangal nyay ke swami grah hain. Jab kisi
se anyaay ho raha ho to woh nyay karenge, lekin jab khud
sankat mein honge to woh bhi apni jagah Ketu ka hi
qurbani chadhate hain.
Varshphal mein jab bhi koi grah ghar number 1 mein aata
hai, to sabse pehle apna prabhav us ghar par daalega, jahan
woh janm kundali mein baitha ho. Uske baad shatru
grahon par, chahe woh kisi bhi ghar mein baithe ho, aur
phir mitra grahon par.
Advance lalkitab