0% found this document useful (0 votes)
22 views9 pages

umrah ka tarika

The document provides a comprehensive guide on performing Umrah, detailing the necessary rituals such as Ehram, Tawaf, and Saee, along with important considerations and rules for both men and women. It emphasizes the significance of intentions, specific prayers, and the proper conduct during the pilgrimage. Additionally, it includes practical advice for travelers, including what to do before and after arriving in Makkah.

Uploaded by

Sahansha Aadil
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
22 views9 pages

umrah ka tarika

The document provides a comprehensive guide on performing Umrah, detailing the necessary rituals such as Ehram, Tawaf, and Saee, along with important considerations and rules for both men and women. It emphasizes the significance of intentions, specific prayers, and the proper conduct during the pilgrimage. Additionally, it includes practical advice for travelers, including what to do before and after arriving in Makkah.

Uploaded by

Sahansha Aadil
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 9

Umrah Ka Tariqa

Aur Zaruri Masail


Roman urdu and English

Mufti Shahjahan Qasmi


Madanapalle
1

Read this book once before you travel. Read this in the flight
and in makkah also, So that you become a master of umrah

Umrah Activities
1.Ehram(farz) 2. Tawaf(farz)
3. Saee(wajib) 4. Halaq Ya Qasr(wajib)
Note:: Jis Masle ke baare me maine kahi likha hai ke wo mandatory nahi hai,
to iska ye matlab nahi hai ke aap usko chhod den, balke matlab ye hai ke agar
kisi wajah se wo kar nahi paaye to bhi aap ka umrah sahi hojayega bas. Lekin
us amal ko karne ki mukammal koshish karen aur pura sawab hasil karen.

Ehram ke Masail
Ehram ka Matlab
Umra ya hajj ki niyyat karke talbiya padhne se aadmi ke oopar jo ek
halat aati hai jisme bahut si jayaz cheezen najayaz hojati hain us
halat ko ehram kaha jaata hai.
Makkah Mukarrama jaate huwe Meeqaat se pehle aap ka ehram ki halat me
hona zaruri hai. Agar aap India se Direct Jeddah phir Makka Mukarrama Ja
rahe hain to Jeddah Land hone se 1 ya 2 ghanta pehle aap ka Ehram ki halat
me hona zaruri hy kyunke ight meeqat ke oopar se ya qareeb se jaati hai,
isliye meeqat se pehle aap ko umrah ki niyyat karke talbiya padhlena zaruri
hai.
Flight me baithne se pehle hi ehram ki chaadaren pehan kar airport par
ehram ki 2 rakat namaz padh kar umrah ki niyyat karke labbaik padhlen ya
phir Ehram ki do chaadaren bandhlen aur ehram ki 2 rakat nal namaz padh
kar ight me baith jaayen, umrah ki niyyat aur talbiya na padhen,Phir jab aap
ki ight meeqat ke qareeb pahunchne lage to us se pehle umrah ki niyyat
karke labbaik padhlen.
Agar aap pehle Madina jaane wale hain phir makka jayenge to aap
madina without ehram chale jayen phir aap jab makka jaane lagenge tab
Madina ke Qareeb Masjid e Zul hulaifa hai wahan se ehram baandhenge,
ehram ki 2 rakat namaz padhenge phir salam pherne ke baad umre ki niyyat
karke teen baar talbiya padh kar makkah chale jayen.
2
Note:: Ladies agar monthly periods me hain to ghusl karke safar me nikal
jayen aur jahan se mard ehram baandhta hai wahi se aurat ehram baandhle
yaani umre ki niyyat karke talbiya padhlen. Mard Buland aawaz se labbaik
padhenge aur ladies aahista aawaz se.
Method :: Ehram se pehle apne nakhun,baghal aur naaf ke baal saaf karlen,
aur Ghusl ya wazu karfne ke baad apne body par khushboo laga kar (this is
optional),mard ehram ki 2 chaadaren pehan kar (Mandatory), agar makrooh
waqt nahi hy to ehram ki 2 rakat na namaz (not mandatory) with cap
padhlen(pehli rakat me sura e fathiha ke baad sura e kaarun aur doosri
rakat me sura e fathiha ke baad sura e ikhlaas padhen. It is Not Compulsory
but it will be best, else any sura you can read).
Namaz ka salam pherne ke baad mard apne sar se topi utaar kar umre ki
niyyat karen aur laides apne chehre par kapda lagne na den. Chehre ko cap
wale niqaab se chhupalen lekin chehre par kapda lagne na den.
Umra Ki Niyyat :: Ya Allah me umre ki niyyat karta hun mere is umre ko aasan
farma aur qabool farma.
Note:- Ye aap ka umrah wajib hai isko aap apni hi niyyat se karlen. Phir jab
aap nal umrah karne lagen tab aap us me kisi aur zinda,wafat shuda,mard
aurat sab ki taraf se niyyat kar sakte hain.
Niyyat ke baad mard 3 baar talbiya buland aawaz se padhen (1 Baar Buland
aawaz se Mandatory hy) aur ladies 3 baar aahista aawaz se talbiya padhen.
Talbiya ::- Labbaik Allahumma Labbaik , Labbaika Laa Shareeka Laka Labbaik,
innal Hamda Wan nimata, Laka Wal Mulk, Laa Shareeka Lak.
Niyyat aur Labbaik ke baad Ab aap ka ehram Shuru hogaya.
Ehram ki Pabandiyaan
Baal,nakhun nahi kaatna,Khushboo,sabun,shampoo use nahi karna,khushboo
sooghna bhi nahi, biwi se pyar aur muhabbat waali baat(bedroom talk and
activities)nahi karna,haram(makka) me kisi jhaad(tree) ka patta,ghaas nahi
todna. Sar ke jun(bugs)nahi maarna aur unko apne haath se nikaal kar neeche
bhi nahi girana.
Mard sile huwe libaas nahi pehanna(under wear,socks etc bhi nahi).Mard ka
sir open rakhna, Auraten sab pehan sakti hain,albatta aurat ke chehre par
kapda nahi lagna. Auraten sar par jo kapda baandhti hain wo hargiz ehram
nahi hai. Waz karte waqt us kapde ko khol kar sar ka masah karna zaruri hai
aur isko kholne se ehram nahi tootega. Mard ka apne pair (legs) ka upar wala
hissa aur yedi nazar aana. Aurat shoes socks jewellery pehan sakti hy. Ladies
Hands me socks na pehne (it is best but not mandatory).
Umre ki niyyat kar lene ke baad se lekar tawaf start karne tak talbiya padhte
rahen. Jab Tawaf Start hojaye to talbiya padhna bandh karden.
Note:: Jab bhi talbiya padhen to minimum 3 baar talbiya padhen aur gents
thoda oonchi aawaz se padhen.
3

Tawaf e Kaba ( Tawaf of Umra)


Jeddah se makka mukarrama pahunch kar apne luggage etc lekar hotel me
some hours rest lelen aur soap etc use kiye baghair bath karna chahen to
karlen aur body pochte waqt towel ko sar aur face par jaldi se poochlen
zyada der tak sar aur face par kapda lagne na den. Food etc se faarigh
hojane ke baad haram shareef jayen. Apne hotel ka visiting card lelen.
Hotel ka main view,streetview photo lelen. Room number aur hotel ka naam
byheart karlen(Zabani yaad karlen).
Note :: car ya bus se jaate waqt gents pehle baithen phir ladies ko bithayen.
Utarte waqt ladies rst aur gents next utaren.
Haram shareef jaate waqt 100, 200 riyal se zyada lekar na jayen. Slippers
rakhne ke liye apne saath plastic cover lekar jayen aur slippers ko apne hand
bag me rakhlen. Slippers hand bag me rakh kar tawaf karna restricted nahi
hy. No problem.
Apne saath paani ka bottle aur khud se baal katna ho to hair shaver, scissors
for ladies lekar jayen. Apne kamar ke belt aur pocket me original papers,
passport lekar na jayen. Hotel me hi rakh den. Room keys bhi counter me
deden. Hotel me koyi chori nahi karta don't worry about that.

Entry in Masjid al Haram boundary:: Masjid e haram me enter hote hi ye dua


padhen
1 Bismillahi was solaatu was salaamu alaa rasoolillah. Allahummagh rlee
zunoobi waftahlee abwaaba rahmatik.
Nazar neeche rakhte huwe aur ladies ka khayal karte huwe aage jaayen aur
kisi corner ko choose karke kaba ki taraf dekhen. Kabatullah ka koyi bhi part
nazar aate hi
2 Allahu akbar 3 baar padhen
3 Laa ilaha illallah 3 baar
4 Allahumma zid baitaka haaza tashreefaw wa takreema wa taazeemaw wa
mahabah 1 baar padhen
5 Allahumma zid man sharrafahu wa karramahu mimman hajjahu
awitamarahu tashreefaw wa tazeemaw wa birra. Allahumma antas salaam
wa minkas salaam wa adkhilna daaras salaam 1 baar padhen.

Note:: ye saari 1 to 5 duaen not compulsory but if you read it will be better.

In sab duaon ko padhne ke baad Rabbana aatina waali dua padhen phir
darood phir yun dua maangen ke ya allah ab se lekar mout tak me jo bhi
dua karun usko qabool farma, phir Arabic aur urdu me jo dua chahen allah
se maangen.
4
Way of Tawaf:: Dua se faarigh hone ke baad labbaik padhte huwe jis oor
me chance mile usme tawaf karne ke liye chale jaayen. Ground oor is the
best of all. Then all oors by sequence.
Green light ke neeche jis saf me chahen pahunch jayen aur labbaik padhna
band karden. Mard apni oopar waali chadar ko right hand ke neeche se
nikaal kar left khaande par daal len (Isko Iztiba kehte hain aur its not
compulsory but if you do this will be better) Ladies ke liye iztiba etc nahi nahi.
Note:: Tawaf ke liye paak hona aur wazu ke saath hona compulsory hy.
Ladies ko agar periods hain to wo hotel me rahen. Paak hone ke baad without
soap and wihout shampoo ghusl karke baad me umra complete Karen.
Tab tak ehram ke rules ko follow Karen.
Niyyat :: Green light ke level me green light start hone se thoda peeche khade
hokar kaba ki taraf ( Hajr e Aswad ki taraf face karke) niyyat is tarah Karen ke
Ya allah me tawaf ki niyyat karta hun isko qabool farma aur aasan farma.
Niyyat ke baad ek qadam aage chal kar bilkul hajr e aswad ki taraf face karke
(ab aapki peeth ke peeche exact green light hogi) mard aur aurat apne dono
haath namaz me niyyat baandhne ki utha kar Bismillahi Allahu akbar walilla
hilhamd kahen aur hath neeche chhod den. Phir apne dono haath hajre
aswad ki taraf ishara Karte huwe ye dua padhen Bismillahi Allahu akbar
walilla hilhamd,Laa ilaha illallah was solaatu was salaamu ala rasoolillah aur
right hand ko bosa den(kiss Karen without sound). Bosa dene ke baad right
side ko turn hojayen is tarah ke aap ka seena(Dil) left side kaba ki taraf ho aur
aap ka right hand green light ki taraf ho.
Mard pehle ke 3 rounds me Ramal Kare Yaani pehalwan ki tarah thoda seena
taan kar mondhe(shoulders) hilate huwe chhote qadam daalte huwe chalen
(its not compulsory but if you do this it will be better).Auraten normal chalen.
Note:: Tawaf anti clockwise me karna hy aur tawaf karte waqt kabatullah ko
nahi dekhna. Saamne aur niche nazar rakhte huwe aahista aahista chalen.
Hajre aswad se lekar rukne yamani tak 3rd kalima padhna hai.
3rd kalima :: Subhanallhi walhamdu lillahi walaa ilaha illallahu wallahu akbar
wala howla wala quwwata illa billa hil aliyyil azeem(its not compulsory but
if you do this it will be better). Har chakkar ki alag alag dua bhi hai jo duaon
ki pdf me hai 3rd kalima ke baad unko bhi padhen to behtar hai.
Rukne yamani ke qareeb pahunchen to usko sirf haath lagana hy. Door se
guzar rahe hon to kuch bhi nahi karna hy.
Rukne yamani (the 4th corner of kaba from hajr e aswad as if we mention hajr
e aswad the rst corner )se Hajre aswad tak Allahumma Inne as alukal afwa
wal aayata d dunya wal aakhirah. Rabbana aatina upto end of this dua
padhen aur iske saath ye bhi add Karen (Wa adkhilnal jannata ma al abraar.
Ya azeezu ya ghaffaar , ya rabbal aalameen (these all are not compulsory but
if you say these it will be better).
Hajre aswad ke straight pahunchne par phir oopar jaise bataya hy waisa
hajre aswad ko ishara karke dua padh kar bosa den bas. Pehli Dafa jo Kaano
tak haaath uthate hain wo nahi karna hai,Ye sirf tawaf ke starting me hy bas.
5
Ab aapka rst round complete hogaya hy, is tarah aap ko seven rounds karna
hy, seventh round complete hone ke baad phir bosa denge, ab poore tawaf
me aap ke 8 bose hojayenge.
2 Rakat Wajibut tawaf
Tawaf ke baad maqam e ibraheem ke paas ya uske peeche ya jahan jagah
mile waha 2 rakat tawaf ki wajib namaz padhna hy jaise ehram ki namaz
padhi thi but abhi aap ehram ki halat me hain isliye ye namaz aap ko without
cap padhna hy, albattah tawaf shuru karte waqt right side ka kandha aap ne
khol diya tha, to ab namaz ke waqt aur saee aur halaq hone tak kandha
dhaamp kar rakhenge. Aur ye tawaf ki 2 rakat namaz compulsory hy. Agar
tawaf aise waqt me pura huwa ke wo makroo waqt hai yaani fajar ki namaz
ke baad ishraq se pehle ka waqt hai ya phir asar ki farz namaz ke baad se
maghrib tak ka waqt hai to is waqt me ye namaz nahi padhenge balke aap
zamzam peekar saee karne chale jayen,phir jab makroo waqt khatam hojaye
tab ye namaz ada karen. Makroo waqt hone ki wajah se Chahe aap ki saee
complete bhi hojaye phir aap ko tawaf ki namaz padhna pade tab bhi aap
saee ke baad hi makroo waqt khatam hone ke baad hi namaz padhenge.
Aabe Zam Zam:: Green light se thoda aage jane ke baad phir peeche aajayen
bilkul green light ke neeche. Wahan aap ko zam zam milega aur green light
se aage jane ke baad, to masa likha huwa board nazar aayega wahan par bhi
zamzam rakha rehta hai, waha ja kar Zamzam piyen lekin Not cold zamzam
piyen taa ke aap ki tabiyat cold water ki wajah se kharab na ho. Zamzam ko
khade hokar qible ki taraf muh karke khoob zyada peena hy. Zamzam peene
se pehle ye dua padhen Allahumma inni as aluka ilman naaa wa amalan
soliha wa rizqan halaalan toyyibah wa shifaa am minkulli daain wa suqm.
Phir urdu me dua karke paani khoob piyen.
Saee:: Green light ke neeche se Basement wale safa pahad ya ground oor ya
jis oor me bhi jaane ka mouqa mile safa pahad ki taraf chalen aur jab wo
area nazar aajaye to wahin se ya us se pehle hi hajre aswad ki taraf ishara
karke us ko bosa den. ab total bosa 9 baar hogaya.
Jab safa me enter hone lagen to enter hone se pehle ye padhen
(Abdawu bima bada allahu bihee, ‫)ان اﻟﺻﻔﺎ واﻟﻣروة ﻣن ﺷﻌﺎﺋر ﷲ‬
(its not compulsory but if you do this will be better).
Phir jab safa me enter hone ke bilkul qareeb hojayen to niyyat Karen ke ya
allah me saee ki niyyat karta hun isko aasan farma qabool farma.
Phir qible ki taraf face karke 3,4 minute koyi bhi dua maanglen.
Phir safa se saee start Karen aur poore saee me 4th kalima padhen.
4th kalima:: Laa ilaaha illallahu wahdahoo laa shareeka lahu lahul mulku
walahul hamdu yuh ee wayumeetu bi yadihil khair wahuwa alaa kulli shyin
qadeer.
6
Safa se marwa jaate huwe chhat par taqreeban 100 feet se kuch kam area
me green lights nazar aayengi. Green lights ke beech me gents brisk walk se
thoda zyda speed me chalen(don't run). Ladies normal speed me chalen.
Gents green lights ko jaldi se paar karlenge, isliye gents waha ja kar apni
ladies ka intizar karen phir sath me aage chalen. In between green lights both
gents and ladies ye dua padhen (Rabbigh r warham waafu wata karram
wata jaawaz amma taalam. Innaka antal aazzul akram) several times.
Marwa par pahunchte hi 1 round hogaya. Phir qible ki taraf side me khade
hokar dua karlen any. Phir marwa se safa, same as safa to marwa, karen,
marwa se safa aate huwe bhi green lights nazar aayengi waha bhi waisa hi
kare jaisa ke safa se marwa jaate huwe kiya tha gents aur ladies ne.
Saee ke rounds::
Safa to marwa 1,
Marwa to safa 2,
Safa to marwa 3,
Marwa to safa 4,
Safa to marwa 5,
Marwa to safa 6,
Safa to marwa 7, now Saee completed.
Note: Kuch log jab marwa se safa ki taraf aate hain to hajr e aswad ki taraf
ishara karke bosa dete hain, ye bilkul ghalat hai. Bosa sirf saee start karte
waqt ek baar karna hai bas. Saee start karte waqt aur har round me safa me
bhi dua aur marwa me bhi dua karlen (not mandatory, lekin karlen to achha
hai). Saee ke baad masjid me andar jakar 2 rakat saee ki na namaz padhlen.
Note :: Saee ke liye paak hona ya wazu hona compulsory nahi hy. Agar kisi
aurat ka tawaf complete hone ke baad periods shuru hogaye to bhi wo saee
kar sakti hai. Tawaf ke liye paak hona aur wazu hona compulsory hai, Saee ke
liye mandatory nahi hai. Agar tawaf karte huwe wazu toot jaye to wazu karne
chale jayen aur jahan tawaf chhoda tha wahan se tawaf ko aage continue
karen.
Halaq ya Qasr :: Saee ke baad mard sar ke baal blade se Halaq(shave) karle ya
baal agar lambe hon to scissor se poore sar ke baal 1 inch se zyada trim karle,
Lekin poore sar ke baal halaq karlena zyada behtar hai.
Ladies poore sar ke baalo ke corner pakad kar 1 inch se zyada cut karlen. Aap
log khud bhi kar sakte hain no problem. Yaani saee hojane ke baad aap apne
halaq se pehle aurat ke baal kaat sakte hain aur aurat ki saee poori hogayi ho
to wo ya koyi bhi aap ke sar ke baal kaat sakte hain.
Note: Mard, Halaq ya qasr me aur ladies qasr me kam se kam 1\4 th sar ke
baalo ko kaatna laazim hai warna halaq ya qasr nahi maana jayega, Lekin
poore sar ke baalo ko kaatne me zyada sawab hai. Ladies apne baalo ko
scissor se hi cut karengi, blade se sar par shave nahi karengi.
7
Halaq ya Qasr hojane ke baad aap ka umarh mukammal hogaya. Umrah
Mukammal hojane ke baad ghusl karna zaruri nahi hai. Doosra umra karna
chahen to usi ehram ki chaadaro me kar sakte hain, unko dhona lazim nahi
hai. Na Paak ya gande hogaye hain to phir dholen.
Is pdf ke sath aap umrah ka mukammal tareeqa samajhne ke liye is link ko
youtube par search karke video dekh len. Bahut faida hoga in sha Allah.
Umrah ka Tariqa:- https://youtu.be/ZrL92SjFAH8

Iske alawa Umrah Ki Duaon ki Pdf bhi hai jisme ghar se nikalne se lekar
umrah khatam hone tak ki saari duaen moujood hain usko bhi padhlen.
Ye duaen print lekar dekh kar bhi padh sakte hain. Aise hi mere channel par
playlists me Hajj aur umra ki playlist hai jisme bahut si videos hain unko bhi
dekhlen. Nal umrah ka tarika, tawaf ka tarika,saee ka tarika, masjid e
aaisha se umrah ka tariqa,Jorana se umra, hudaibiya se umra ka tarika sab
videos us playlist me hain.
Madinah Ki Ziyarat:: Umrah complete hone ke liye madina munawwara
jaana farz nahi hai yaani aap ko jane ka mouqa nahi mila tab bhi aap ka
umra sahi hogaya, lekin jaane ki mukammal koshish karni chahiye aur
wahan 40 namaze padhna chahiye aur Huzur Sollallahu alaihi wa sallam ko
salam pesh karen.
8

Riyazul jannah me jayen,jannatul baqie me jayen, masjid


e quba jayen. Agar umre ke safar me madinah jaane ka mouqa nahi mila to
aap ke umre par koyi faraq nahi padega. Aap ka umra sahi hoga aur
makkah mukarrama me bhi ziyarat ki jagho par jayen.
Note:- Agar hajj ya umrah ke baare me koyi bhi masla aap malum karna
chahen to aap mujhe whatsapp par likh kar ya audio me sawal kar sakte
hain. Me aap ka message dekhunga aur waqt milega to aap ko zarur jawab
dene ki koshish karunga in sha Allah. Mera Number sirf aap ke liye hai, kisi
aur ko na dijiye warna phir mere paas bahut sawal aayenge aur me aap ka
jawab bhi nahi de paunga.

You might also like